Search
Poetry / Political
Muzammil Shahzad
Is Arz E Pak Pe Vehshi Na Chal Saken Ge Kabhi
Jawan raat key seeney pey dhoodhiya aanchal
Machal raha hai kisi khuwab-e-Marmareen ki tarha
Haseen phool, haseen Pattiyan, haseen shakhein
Lachak rahi hain kisi jism e nazneen ki tarha
Fiza mein khil sey gaye hain ufaq key narm khutoot
zameen haseen hai khuwabon ki sarzameen ki tarha
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain
Kabhi gumaan ki surat kabhi yaqeen ki tarha
woh paidr jin key taley hum panah letey they
kharey hain aaj bhi sakit kisi ameen ki tarha
Unheen key saaye mein phir aaj dou dharaktey dil
khamosh honton sey kuch kehney sun-ney aye hain
najaney kitni kishakash sey, kitni kawish sey
yeh sotey jagtey lamhey chura key laye hain
yahi fiza thi, yahi rut, yahi zamana tha
yaheen sey hum ney mohabbat ki ibtida ki thi
dharaktey dil sey, larazti hui nigahon sey
huzoor-e-ghaib mein nanni sey ilteja ki thi
keh aarzu key kanwal khil key phool ho jayein
dil-o-nazar ki du'ain qabool ho jayein
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain
tum a rahi ho zamaney ki aaankh sey bach kar
nazar churaye huey aur badan churaye huey
khud apney qadmon ki aahat sey jheenpti, darti
khud apney saaye ki junbish sey khof khaye huey
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain
rawaan hai choti si kashti hawaon key rukh par
nadi key saaye pey mallaah geet gata hai
tumhara jism har ik lehr key jhakoley sey
meri khuli hui baahon mein jhool jata hai
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain
mein phool taank raha hoon tumharey jorey mein
tumhari aankh musarrat sey jhukti jaati hai
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain
merey galey mein tumhari gadaaz baahein hain
tumharey honton pey mairey labon key saaye hain
mujhay yaqeen key hum ab kabhi na bichraingey
tumhein gumaan key hum mil key bhi paraye hain
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain
merey palang pey bhikri hui kitabon ko
adayey ijz-o-karam sey utha rahi ho tum
suhaag raat jo dholak pey gaye jatey hain
dabey suron mein wohi geet ga rahi ho tum
Tasavurat ki parchaiyan ubharti hain
Woh lamhey kitney dilkash they, Woh garhyaan kitni pyari theen
woh sehrey kitney nazuk they, Woh laryan kitni pyari theen
Basti ki har ik shadaab gali, khuwabon ka jazeera thi goya
har moj e nafas haz moj e saba, naghmon ka zakheera thi goya
Nagaah lehektey khaiton sey taapon ki sadayein aaney lageen
Barood ki bojhal boo leykar picham sey hawayein aaney lageen
Tameer key roshan chehrey par takhreeb ka badal phail gaya
har gaon mein vehshat naach uthi, har sheher mein jangal phail gaya
Maghrib key muhazzib mulkon sey kuch khaki wardi posh aye
ithlatey huey maghroor aye, lehratey huey madhosh aye
Khamosh zameen key seeney mein khaimon ki tanabein garhney lageen
makhan si mulayim raahon par booton ki kharashein parney lageen
faujon key bhiyanak baind taley charkhon ki sadayein doob gayeen
jeepon ki sulagti dhool talley phoolon ki qabayein doob gayeen
Insaan ki qeemat girney lagi, ijnaas key bhao charney lagey
chopal ki ronaq ghatney lagi, bharti key dafatir badrhney lagey
basti key sajeeley shokh jawaan ban ban key sipahi janey lagey
jis raah sey kam he lot sakey us raah pey raahi janey lagey
Un janey waley daston mein ghairat bhi gayee barnai bhi
maaon key jawaan betay bhi gaye, behnon key chaheetey bhai bhi
Basti pey udhasi chaney lagi, mailon ki baharein khatm hueen
Aamon ki lachakti shakhon sey jhoolon ki qatarein khatm hueen
dhool udrney lagi bazaron mein, bhook ugney lagi khalyanon mein
har cheez dukanon sey uth kar ruposh huee teh-khanon mein
badhaal gharon ki badhaali barhtey barhtey janjaal bani
mehengai barh kar kaal bani, sari basti kangaal bani
charwahian rasta bhool gayeen, pinharian panghat chor gayeen
kitni he kanwari ablayein maan baap ki chokhat chor gayeen
Aflaas zada dehqanon key hal bail bikey, khalyaan bikey
jeeney ki tamana key haaton, jeeney k

·
1 Like ·
Jan 10, 2015 at 03:01
Category: political
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Ae Umr Rawan Aahista Chal
Kuch Khawab Hain Jinn Ko Likhna Hai
Tabeer Ki Soorat Deni Hai
Kuch Log Hain Ujrey Dil Waley
Jinhain Apni Mohabbat Deni Hai
Kuch Phool Hain Jinn Ko Chunna Hai
Aur Haar Ki Soorat Deni Hai
Kuch Apni Neendain Baqi Hain
Jinhain Baantana Hai Kuch Logon Mein
Unn Ko Bhi To Raahat Deni Hai
Ae Umr-E-Rawan Aahista Chal
Abhi Khasa Karz Chukana Hai
Tabeer Ki Soorat Deni Hai
Kuch Log Hain Ujrey Dil Waley
Jinhain Apni Mohabbat Deni Hai
Kuch Phool Hain Jinn Ko Chunna Hai
Aur Haar Ki Soorat Deni Hai
Kuch Apni Neendain Baqi Hain
Jinhain Baantana Hai Kuch Logon Mein
Unn Ko Bhi To Raahat Deni Hai
Ae Umr-E-Rawan Aahista Chal
Abhi Khasa Karz Chukana Hai
·
1 Like ·
Jan 06, 2015 at 15:01
Category: love
Advertisement
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Jo Chal Sako To Koi Aisi Chaal Chal Jana
·
2 Like ·
Nov 27, 2014 at 13:11
Category: love
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Chalo K Koocha E Dildaar Chal K Daikhte Hain
·
1 Like ·
Nov 26, 2014 at 17:11
Category: love
Know / When
Bollywood Movies Release Dates
Bollywood Movie Chal Bhaag Release Date
·
0 Like ·
May 08, 2014 at 15:05
Category: when
Sms / Ghazal
Kashif Yaqoob
Kabi Ruk Gye Kabi Chal Diye.
Kabi ruk gye Kabi chal diye Kabi chalty chalty bhatak gye : Yunhi umar sari guzaar di Yunhi zindgi k sitam sahey : Kabi neend me Kabi hosh me Tu jahan mila Tuje dekh kar : Na nazar mili Na zuban hili Yunhi sar jhuka k guzar gye : Kabi zulf par Kabi chashm par Kabi tere haseen wujood par : Jo pasand thy Meri kitab me Wo shair sary bikhar gye : Mje yaad hy Kabi aik thy Magar aj hum hain juda juda : Wo juda hue To sanwar gye Hum juda hue To bikhar gye : Kabi arsh par Kabi farsh par Kabi unky dar Kabi dar badar : Gham-e-aashiqi Tera shukriya Hum kahan kahan sy guzar gye..
·
8 Like ·
Mar 05, 2014 at 14:03
Category: ghazal
Tags: Zindagi Ishq Yaad Dard Poetry Shairi Sms
Sms / New Year
Kashif Yaqoob
Chal Maano Chal Jo Log Humein Achey Lagte Hain.
('. ' ) /\../\ / )'( \ ( ' ; ' ).-""-./ / <, ' _)- _) " "" " "' Chal Maano Chal Jo log humein achey lagte hain unko sb say phele !""!__!""! ! APPY !__!""!__! \\//\\//\\//\\//\\ NEW YEAR \\//\\//\\//\\//\\ Bol kr aatey hain.
·
2 Like ·
Dec 31, 2013 at 15:12
Category: new-year
Tags: Mubarak Sms
Sms / Nice
Kashif Yaqoob
Mehfil Me Baat Unki Rehmat Ki Chal Rahi He
"Mehfil me baat unki REHMAT ki chal rhi he,
Duniya mere nabi k sadqo pe pal rhi he,
Jis Zamin pr pare mere NABI k qadam,
Wo Zamin ab tak sona ougal rahi hai
(¯`v´¯)`·.¸.·´ ¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
.. ..."ħģÄm.ö.Ä£îküm"Håvë Ä ñíçê däý
Duniya mere nabi k sadqo pe pal rhi he,
Jis Zamin pr pare mere NABI k qadam,
Wo Zamin ab tak sona ougal rahi hai
(¯`v´¯)`·.¸.·´ ¸.·´¸.·´¨) ¸.·*¨)
.. ..."ħģÄm.ö.Ä£îküm"Håvë Ä ñíçê däý
·
1 Like ·
May 17, 2013 at 18:05
Category: nice
Tags: Islam Sms
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.
Jaha Lehron ki Khmoshi Ho
Jahan Sanson Ki Madhoshi Ho
Jahan Jzbon Ki Behoshi Ho
Jahan Ankhon Se Srgoshi Ho
Chal Chlte Hain Us Paar Sanam
Ik Nai Aas Lganay Ko
Ik Dil Ki Aag bujhane Ko
Ik Doje Me Kho Jane Ko
Ik Pal K Naam Ho jane ko
Chal Chlte Hain Us Paar SaNam
Jahan Aasan Sari Rahain Hon
Jahan Ik Doje ki Bahain Hon
Jahan LabPe Sard Si Aahain Ho
Jahan pyar Ki kuch Pnahain Ho
Chal Chlte Hain Us paar Sanam.
·
1 Like ·
Jan 14, 2012 at 17:01
Category: ghazal
Sponored Video