Search
Sms / Funny
Shahbaz Ishaq
Vo Aaj Bhi Hume Dekh Kar
Vo aaj bhi hume dekh kar muskurate hain Yeh to unke bache hee kamine hain, Jo Mammu-Mammu bulaate hain. Apni Surat ka kabhi to didaar de tarap raha hu ab aur na intzaar de Apni awaaz nahi sunani to mat suna Kam se kam 1 Missed call hee maar de
·
1 Like ·
Apr 17, 2012 at 15:04
Category: funny
Sms / Rude Sms
Shahbaz Ishaq
Quaidabad,malir, Kalaboard, Airport,colony Gate, . Natha Khan Aur Aur Aur Agar Time Milay Tou Kal Baqi Ilaqoo K Bhi Gatter Saff Kardena..!!
Quaidabad,malir, kalaboard, airport,colony gate, . natha khan aur aur aur agar time milay tou kal baqi ilaqoo k bhi gatter saff kardena..!!
·
2 Like ·
Apr 13, 2012 at 14:04
Category: rude-sms
Advertisement
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Humaisha Ki Tarha Aaj Bhi
Humaisha ki tarha aaj bhi,
Sarma ki in sard shaamo main,
Daftar se wapis laotey hue,
Mere barhtey kadam, is landa bazaar key nukarh par,
Ruk say gay hain,
Har saal sochta hon k,
Is bar atay jarhon main,
Dhaani rang ki ake ooni shaal,
Tumhain tohfay main zarur donga,
Jisey orh kar tum jab kabhi,
Dhalti shaam main ghar se niklo ge,
To tumhare gulaabi arez ka damakta rang is dhalti shafak ko mand kar dega,
Aur jisey orh kar kisi sahpaher jab,
Bhaap uratti piyali k uqab se tum,
Mujhey sharaarat bhari nazron se dekho ge,
To mere mann main na janey kitney komal sapney,
Is dhanak rang shaam ki tarha utar ayain gay,
Par kia karon aye meri hum nafas,
Main ake adna sa kalark hon,
Jo sirf khoab hi bonta rehta hai,
Kaash!
In khoabon ki ooni salayan,
Tumhari dhaani shaal bhi bun patti,
Leken nahi'.
Ab aur nahi keh,
Tum to har saal atti sardiyon main,
Mujhe koi na koi tohfa zarur deti ho,
Khud apney hathon se bun kar,
Poorey saal paise jorh kar,
Maslan mere galay se lipta yeh naya garm maflar, yeh swetter,
Aur mere shaano ko dhaanpta yeh koat,

Feb 03, 2012 at 15:02
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Hum Chahain Bhi Tu
Hum chahain bhi tu tumhian bhula nehi saktey
Teri aadaoon say damaan chura nehi saktey
Agarcha tum mere dil mein rehtey ho
Magar phir bhi yeh faasilaey mitaa nehi saktey
Dil toh tujhy dey diye hai apni zindgi samjh kar
Ab kisi aur say hum dil laga nehi saktey
Tere sapnoon teri he yaadon mein khoye rehty hain
Tum Chah kar bhi Khudh ko hum say chupaa nehi saktey
Sirf teri he zulfoon ka saya rehy umar bhar
Ab koi aur chehraa ankhon mein bassa nehi saktey
Tere bin aik pall bhi jeena namumkin hai
Tujhy chahtey hain kitna hum baata nehi saktey

Jan 18, 2012 at 13:01
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Raat Bhi Sari Jagtey Huie Guzri
raat bhi sari jagtey huie guzri,
shab e gham mien shama jalatey huie guzri,
apni nakamiyoun pe afsous karte huie,
aankhou se ashk bahatey huie guzri,
ghamou se bharey iss tootey huie dil ko,
dukhou se apney bhelatey huie guzri,
jo chord gaya tanha safar mien mujhko,
usi ek bewafa ko bhulatey huie guzri,
wo na aaiega phir laut k yahan,
yehi baat dilko samjhatey huie guzri,
har lamha qayamat ki manand tehra,
har ghari mann ko tarpatey huie guzri,
khiza k iss phailey huie mausam mien,
saba bhi apni nazrien churatey huie guzri,
andhero ney apni dastaan sunaie mujhko,
roshni bhi apni kahani sunatey huie guzri,
kuch yadou ney neendien na aney di,
kuch raat jagou ki baarish mien nahatey huie guzri,
kab ka bhula diya tah mainey jisey,
kal hawa bhi aus k geet gungunatey huei guzri,
khuabou k sahil pe tere naam ko ,
kabhi likhte tou kabhi mitatey huie guzri,
nafrat aur pyaar ki kashmakash mien ye zindagi,
kuch rotey guzri tou kuch muskuratey guzri''

Tum Jahan Bhi Jao
Suno
Tum jahan bhi jao
Chahe zameen kay kisi aakhri konay ki jaanib nikal jao
Beshak humain tum bhool jao
Magar itna yaad rakhna
Hum tumhari baaton, hawaalon ko
Zameen ki panaahon main mehfooz rakhain gay
Tumhari yaad ko dil kay pass rakhain gay
Suno!
Hum tumhain yaad rakhain gay ...!!!!

Jan 11, 2012 at 10:01
Category: ghazal
Tags: Bhool
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Tum Jahan Bhi Ho
Suno !!
Tum Jahan Bhi Ho
Chahe Zameen Ki Kisi
Aakhri Koney Ki Janib Nikal Jao
Beshak Humai'n Tum Bhuul Jao
Magar
Itna Yaad Rakhna
Hum Tumhari Baato'n Ko
Hawalo'n Ko
Mehfooz Rakhei'n Ge
Tumhari Yaad Ko Dil k Paas
Rakhei'n Ge
Suno !!!
Hum Tumhei'n Yaad Rakhei'n Ge ... !!!
Tum Jahan Bhi Ho
Chahe Zameen Ki Kisi
Aakhri Koney Ki Janib Nikal Jao
Beshak Humai'n Tum Bhuul Jao
Magar
Itna Yaad Rakhna
Hum Tumhari Baato'n Ko
Hawalo'n Ko
Mehfooz Rakhei'n Ge
Tumhari Yaad Ko Dil k Paas
Rakhei'n Ge
Suno !!!
Hum Tumhei'n Yaad Rakhei'n Ge ... !!!
·
1 Like ·
Jan 11, 2012 at 10:01
Category: ghazal
Sms / Ghazal
Shahbaz Ishaq
Mohabbat Bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho
Tum Mohabbat bhi Maosam Ki Tarha Nibhate Ho,
Kabhi baraste Ho Kabhi ek boond Ko Tarsate Ho,
Pal Mein Kehte Ho Zamane Mein Faqat Tere Hain,
Pal Mein Izhaar-e-Muhabat Se Muker Jate Ho,
Bhari Mehfil Mein Dushmano ki Tarah Milte Ho,
Aur Duaaon Mein Mera Naam Liye Jate Ho,
Dayar-E-Ghair Mein Mujh ko Talash karte Ho,
Miloon To Paas Se ChupChaap Guzer Jate Ho,
Lakh mosam ki tarah rung badalte raho,
Aaj bhi toot k shiddat se humein chahte ho.

Jan 10, 2012 at 10:01
Category: ghazal
Tags: Mohabbat
Sms / Break Up
Shahbaz Ishaq
Tanhai Bhi Hamari
Tanhai bhi hamari aajkal hum par hasti hai, jaise koi machhali pani ke liye tarasti hai, badalon ki tarah meri ankhen barasti hai, bahut samjhaya maine apni saanso ko tham ja, par ye bhi ab hume kaanto ki tarah chubti hai'
·
1 Like ·
Dec 12, 2011 at 09:12
Category: break-up
Tags: Tanhai
Sponored Video