Search
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Yahan Apnay Siwa Koi Mulakati Nahi Hota
Tabhi Toh Main Muhabbat Ka Hawalati Nahi Hota,
Yahan Apnay Siwa Koi Mulakati Nahi Hota,
Aur Ab Is Bat Par Bhi Mujhse Mere Yaar uljhtay Hain,
K Main Har Baat Sun Leta Hoon Jazbati Nahi Hota,
Girftar-e-Wafa, Ronay Ka Koi Aik Mousam Rakh,
Jo Nala Roz Beh nikalay Woh Barsati Nahi Hota,
Tujhay Dil Mein Jaga Di Hai Nazar Se Door Kya Kartay,
Jo marhaz Mein Theher Jaye Woh Mazafati Nahi Hota,
Bicharnay Ka Irada Ho Toh Mujhse Mashwara Karna,
Muhabbat Mein Koi Bhi Faisla Zaati Nahi Hota......!!!!,

·
1 Like ·
May 26, 2016 at 19:05
Category: general
Social Wall / Text
Sehar Saeed
Har Cheez Apnay Waqt Pe Achi Lagti Hai
har cheez apnay waqt pe achi lagti hai
neki kamany ka sahi waqt jawani hai, hum nekian us waqt karte hai jab hum buraiya karne ke qabil nahee rehte.

0 Like ·
May 26, 2016 at 18:05
Category: text
Advertisement
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Apnay Ghar Ki Khirki Say Aasmaan Ko Dekhon Ga

Jis Per Tera Naam Likha Hay Us Taaray Ko Dhundon Ga
Tum Bhi Har Shab Dia Jala Kar Palkon Ki Dehleez Pay Rakhna
Main Bhi Rooz Ak Khowab Tumhara Shaher Ki Janib Bhejon Ga
Hijar Kay Darya Main Tum Parhna Lehron K Tahreerain Bhi
Pani Ki Har Satah Pay Main Kuch Dil Ki Baatein Likhon Ga
Jis Tanha Say Pair Kay Nechay Hum Barish Main Bheegay Thay
Tum Bhi Us Ko Chho Kay Guzarna , Main Bhi Us Say Lipton Ga
Khowab Musafir Lamhon Kay Hain, Saath Kaha Tak Jaaye Gay
Tum Nay Bilkul Theek Kaha Hay, Main Bhi Ab Kuch Sochon Ga,

Apr 09, 2016 at 09:04
Category: general
Poetry / General
Muzammil Shahzad
Tum Apnay Khat Men
Tum Apnay Khat Men Yun Lafzon Ka Silsila Rakhna
Har Aik Lafz Ka Mafhum Dusra Rakhna!
Tumharay Lab Ki Mehak Raaz Faash Kr Day Gi
Lifafa Band Na Karna, Yun Hi Khula Rakhna!
Na Itna Tut K Milliye K Dil Pe Shak Guzray
Khulus Men Bhi Zaruri Hai Fasla Rakhna
Main Zindagi Men Kahin Tum Se Mil Hi Jaun Ga
Magar Ye Shart Hai,Bichharnay Ka Hosla Rakhna!
Ye Soz-O-Karb Mujhe Tajurbon Ne Baksha Hai
Jalana Shama To Daman Se Faasla Rakhna..!

Jun 28, 2015 at 23:06

2 Like ·
Jun 28, 2015 at 17:06
Category: general
Poetry / Love
Ijunoon
Bhool Jau Kay Apnay Maazi Mein Rakha Kya Hai
bhool jau ke apnay maazi mein rakha kya hai
yahi na !
dou chaar mulakaatein
adhooray shikway
adhuri baatein
aur udaas shamen
chand toty hui
phone ki bay rabt callen
aur kya hai apnay maazi mein
bhool jaau . . .
yahi na !
dou chaar mulakaatein
adhooray shikway
adhuri baatein
aur udaas shamen
chand toty hui
phone ki bay rabt callen
aur kya hai apnay maazi mein
bhool jaau . . .
·
1 Like ·
Dec 25, 2014 at 13:12
Category: love
Islam / Ahadith
Ijunoon
Surah Al Malik Apnay Parhnay Walon Ko Jannat Mein Le Jayegi
Hazrat Anas R.A bayan kartay hain kay Rasool e akram SAWW ne farmaya:
quraan e kareen ki ek soorat hai iski sirf 30 ayat hain aur wo apnay parhnay walay kay mutaliq jhagra karegi hatta kay uss ko jannat mein dakhil karwa degi aur woh tabarak al lazi (surah al malik) hai, (sahih al jama)

Apr 10, 2014 at 02:04
Category: ahadith
Sponored Video