Search
Poetry / Love
Muzammil Shahzad
Naam Le Le Ker Na Mera Shehar Ki Nazron Mein Aa
Naam le le ker na mera shehar ki nazron mein aa
mujh se milna hai to mere dil ke sehraon mein aa
us safar mein dekh ghul jaata hai mitti ka badan
mujh se milne ki na khuwahish ker na barsaton mein aa
log tujh ko gungunayein meri khuwahish ki tarah
ik achhote shehar ki soorat meri gazal mein aa
be hunar logon ne phir maanga mere fun ka saboot
aa meri sachayi ki khushbu mere lafzon mein aa
ghar ke darwaze pe aakar kion qadam rakhne lage
aa meri tanhayi, meri muntazir bahon mein aa

·
1 Like ·
Apr 28, 2017 at 01:04
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aa Gayii Yaad Sham Dhalte Hii
aa gayii yaad sham Dhalte hii
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii
khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii
kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii
tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii
bujh gayaa dil chiraaGh jalte hii
khul gaye shahr-e-Gham ke darvaaze
ek zaraa sii havaa ke chalte hii
kaun thaa tuu ke phir na dekhaa tujhe
miT gayaa Khvaab aaNkh malte hii
tuu bhii jaise badal saa jaataa hai
aks-e-diivaar ke badalte hii
·
1 Like ·
Jan 16, 2017 at 04:01
Category: sad
Advertisement
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Ranjish Hi Sahi Dil Hi Dukhanay K Liye Aa
Ranjish hi sahi dil hi dukhanay k liye aa
aa phir e mjhy choar k jany k liye aa
pehly se marasim na sahi phir b kabi to
rasm o raah dunya hi nibhany k liye aa
kis kis ko bataen ge judai ka sabab hum
tu mujh se khafa hai to zamany k liye aa
ab tak dil-e-khush fehem ko tujh se hain umeeden
ye aakhri shammen b bujhany k liye aa

Dec 30, 2016 at 16:12
Category: sad
Poetry / Love
Ye Din Bahaar Ke Ab Ke Bhii Raas Na Aa Sake
ye din bahaar ke ab ke bhii raas na aa sake
kay Ghunche khil to sake khil ke muskuraa na sake
merii tabaahii dil par to raham khaa na sakii
jo raushanii men rahi raushanii ko paa na sake
rahein Khulus-e-muhabat ki hadsat jahan
mujhe to kya mere naqsh-e-qadam mita na sake
karenge mar ke baqa-e-dawaam kya hasil
jo zinda rah ke muqam-e-hayat pa na sake
naya zamaana banane chale the diwaane
nai zamin, naya asaman bana na sake

Dec 02, 2016 at 07:12
Category: love
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aaina Hoon Merey Samney Aa Kar Dekho
Aaina Hoon Merey Samney Aa Kar Dekho
Khud Nazar Aaogay Jo Aankh Mila Kar Dekho !
Merey Gham Mein Meri Taqdir Nazar Aati Hai
Dagmagao Gay Merey Dard Utha Kar Dekho !
Youn Tu Aasan Nazar Aata Hai Manzil Ka Safar
Kitna Mushkil Hai, Meri Raah Se Ja kar Dekho !
Bazm Ka Meri Charaghaan Hai Nazar Ka Dhoka
Kin Andheron Mein Bhatakta Hoon Mein Aa Kar Dekho

Sep 07, 2016 at 05:09
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Aa Kay Lay Jaain Meri Aankh Ka Pani Mujh Say
Aa Kay Lay Jaain Meri Aankh Ka Pani Mujh Say
Kiun Hasad Karti Hay Darya Ki Rawani Mujh Say
Gosht Nakhun Say Alag Kar Kay Dikhaya Main Nay
Us Nay Poochay Thay Judaai K maani Mujh Say
Teri Khushbu KI Lehad Par Main Bara Tanha Tha
Ro Pari Mil K Galay Raat Ki Raani Mujh Say
Khatam Honay Laga Jab Khoon Bhi Ashkon Ki Tarah
Kar Gaay Khawab Meray Naqal Makani Mujh Say
Sirf ik Shakhs K Gham Main Mujhay Barbaad Na kar
Roz Rotay Huay Kehti Hai Jawani Mujh Say...

2 Like ·
Aug 29, 2016 at 12:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tere Dar Pe Vo Aa Hii Jaate Hain
tere dur pe vo aa hii jaate hain
jin ko piine kii aas ho saaqii
aaj itanii pilaa de aaNkhon se
Khatm rindon kii pyaas ho saaqii
halqaa halqaa suruur hai saaqii
baat koii zaruur hai saaqii
terii aaNkhen kisii ko kyaa dengii
apanaa apanaa suruur hai saaqii
terii aaNkhon ko kar diyaa sajdaa
meraa pahalaa qusuur hai saaqii
tere ruKh pe ye pareshaaN zulfen
ik aNdhere mein nuur hai saaqii
piine vaalon ko bhii nahiin maaluum
maikadaa kitanii duur hai saaqii
jin ko piine kii aas ho saaqii
aaj itanii pilaa de aaNkhon se
Khatm rindon kii pyaas ho saaqii
halqaa halqaa suruur hai saaqii
baat koii zaruur hai saaqii
terii aaNkhen kisii ko kyaa dengii
apanaa apanaa suruur hai saaqii
terii aaNkhon ko kar diyaa sajdaa
meraa pahalaa qusuur hai saaqii
tere ruKh pe ye pareshaaN zulfen
ik aNdhere mein nuur hai saaqii
piine vaalon ko bhii nahiin maaluum
maikadaa kitanii duur hai saaqii
·
1 Like ·
Aug 12, 2016 at 05:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Lo Aa Gaye Saqi Tere Maikhaane Me
Lo aa gaye saqi tere maikhaane me
Daal de jee bhar ke aaj paimaane me
Bana leti ho tum apna deewana
Charcha hai aaj saare zamaane me
Suna hai vo ilm hai tujhme e saqi
Jo kaam aaye use bhulaane me
Raat bhar madhoshi bani rahe, aur
Um'r beet jaaye sahar ke aane me
Dil ki besaakhta khushi ko to dekho, jaise
Naachta hai moR badal ko rijhaane me
Mil gayee 'ishk' ko aaj vo haseen daulat
Dhoondta firta tha jise saare zamaane me

Aug 11, 2016 at 16:08
Category: sad
Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
mahshar mein paas kiyon dam e faryaad aa gaya
mahshar mein paas kiyon dam -e- faryaad aa gaya
reham iss nay cab kya tha keh ab yaad aa gaya
uljha hai paon yaar ka Zulf -e- daraaz mein
lo aap apnae daam mein sayyad aa gaya
nakamiyoo mein tum nay jo Tashbih mujh say di
sheeren ko dard farhaad aa gaya
dil ko qlq hai tark muhabbat kay baad bhi
ab aasmaa ko Shewa -e- beddad aa gaya
jab ho chuka yqin keh nahi Taqat -e- wisaal
dam mein hamaray woh sitam ijaad aa gaya
ذکرِ sharaab o hoor kalaam khuda mein daikh
momin mein kya kahon mujahe kya yaad aa gaya

Aug 11, 2016 at 04:08
Category: sad
Sponored Video