Archives

Please Login to Send Message.

Abdul Rehman Rehman

From : Pakistan
Followers : 0   Total Updates : 99
Member Since : Feb 02, 2006
Poetry / 24

Abdul Rehman Rehman

Kaash Mai.n Tere Hasiin Haath Kaa Kangan Hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

tuu baDe pyaar se baDe chaao se baDe aramaan ke saath
apanii naazuk sii kalaaii me.n chaDhaatii mujh ko
aur betaabii se furqat ke Khizaa.N lamho.n me.n
tuu kisii soch me.n Duubii jo ghumaatii mujh ko
mai.n tere haath kii Khushbuu se mahak saa jaataa
jab kabhii muuD me.n aa kar mujhe chuumaa kartii
tere ho.nTho.n kii shiddat se mai.n dahak saa jaataa

raat ko jab bhii tuu niindo.n ke safar par jaatii
marmarii haath kaa ik takiyaa banaayaa kartii
mai.n tere kaan se lag kar kai baate.n kartaa
terii zulfo.n ko tere gaal ko chuumaa kartaa
jab bhii tuu band qubaa kholne lagatii jaanaa
apanii aa.Nkho.n ko tere husn se kheraa kartaa
mujh ko betaab saa rakhataa terii chaahat kaa nashaa
mai.n terii ruuh ke gulashan me.n mahaktaa rehtaa
mai.n tere jism ke aa.Ngan me.n khanaktaa rehtaa
kuchh nahii.n to yunhi benaam saa bandhan hotaa

kaash mai.n tere hasiin haath kaa kangan hotaa

· 4 Like · Jul 06, 2021 at 21:07
Category: 24
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai

Dil Ki Baat Zaban Tak Lana Kitna Mushkil Hai
Haal e Dil Auroon Ko Sunana Kitna Mushkil Hai


Aik Humain Hai Teri Chahat,Aik Dunya Ki Majbori
Beech Samandar Diya Jalana Kitna Mushkil Hai


Tum Dunya Ki Shedai Ho,Main Sapnoon Ka Bashinda
Sath Humain Yuhn Tera Nibhana Kitna Mushkil Hai


Aik Naye Dunya Ki Chahat Lay Ai Hai Kitni Dour
Wapis Laut K Ghar Ko Jana Kitna Mushkil Hai


Wehshat K Saaz Pah Raksaan Matam K Kuch Alfaaz
In Hontoon Pay Geet Sajana Kitna Mushkil Hai


Apnay Hontoon Say Ana K Taalay Hum Say Na Khol Payen Gain
Dour Hotay Sathi Ko Bholna kitna Mushkil Hai


Ab Tu Har Aik Hi Hum Ko Dard Ka Mara Lagta Hai
Apnay Zakham Logon Ko Dekhana Kitna Mushkil Hai


Roz Mujh Say Aik Nai Tamana Karta Hai Yeh Mera Dil
Is Nadaan Bachay Ko Samjhana Kitna Mushkil Hai


Hum Ankhoon Say Kehnay Walay Tum Hontoon Ko Sunanay Walay
Apni Chahat Yuhn Tumhain Batana Kitna Mushkil Hai

· 6 Like · Dec 15, 2018 at 17:12
Category: love
 
Advertisement
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Chahe Jaane Ki Kisey Hasrat Nahi Hoti

Chahe jaane ki kisey hasrat nahi hoti

Magar her kisi ki aisi Qismat nahi hoti

Koi ek hota hai jo sama jaata hai Dil main

Her kisi se to yun hi Mohabbat nahi hoti

Pyaar khareedna hai to khareedo Pyaar se

Yeh jazba hai anmol is ki qeemat nahi hoti

Tum bhool gaye ho to yeh aur baat hai warna

Bhool jaana her kisi ki aadat nahi hoti

Un ko dekhne se jo milta tha Dil ko saroor

Ab kisi ko bhi dekhne se woh raahat nahi hoti

· 7 Like · Dec 15, 2018 at 11:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Faqiraana Aaye Sadaa Kar Chale

Faqiraana aaye sadaa kar chale
miyaan khush raho ham duaa kar chale
jo tujh bin na jiine ko kahte the ham
so is ahd ko ab wafaa kar chale
koii naa-ummiidaana karte nigaah
so tum ham se muunh bhii chhipaa kar chale
bahot aarzuu thii galii kii terii
so yaan se lahu mein nahaa kar chale
dikhaaii diye yuun ki bekhud kiyaa
hamein aap se bhii judaa kar chale
jabiin sajdaa karte hii karte gaii
haq-e-bandagii ham adaa kar chale
parastish kii yaan taiin ki ayei but tujhe
nazar mein sabon kii khudaa kar chale
gaii umr dar band-e-fikr-e-ghazal
so is fan ko aisas badaa kar chale
kahein kyaa jo puuchhe koii ham se "Meer"
jahaan mein tum aaye the, kyaa kar chale

· 5 Like · Dec 15, 2018 at 05:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Kaha Tha Na

Kaha tha na
is tarha Sotey main mat chor k jana
Mujhe Beshak jaga dena
bata dena...
Mohabbat k safar mai sath chal nahi Saktey
Judai k Safar mai sath chal nahi saktey
Tumhein Raasta badalna hai
Meri Hadd se nikalna hai
Tumhein kis baat ka Dar hai...?
Tumhein Jaane hi nahi deta...
Kahin peh Qaid kar leta???
Aray Pagli Mohabbat mai Zabardasti nahi hoti
Jisey Raasta badalna ho usey Rasta badalney se
Jisey Hadd se nikalna ho usey had se nikalney se
Na koi Rok paya hai
Na koi Rok paye ga
Tumhein kis baat ka Dar tha...?
Mujhe Beshak jaga dete
Mai Tum ko Dekh hi leta
Tumhein koi Duaa deta
Kam az kam yun to na hota Mere saathi!!
Haqeeqat hai....
Tumhare baad khone k liye kuch bhi nahi baqi
Magar khoney se Darta hoon
Mai ab soney se darta hoon.......!!!!!!

· 0 Like · Dec 14, 2018 at 19:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Mere Dil Mein Basi Hararat Ho Tum

Mere dil mein basi hararat ho tum,
Meri aankhon ko mili shararat ho tum,

Dekhun tumhein to paalun mein duniya,
Na milo to milne ki baghavat ho tum,

Tumhari khamoshi keh jaati hai kai baatein,
Jise yaad karta hai dil kai raatein,

Tumhare nanhe nanhe se haath aur badi badi baatein,
Yaad reh jaati hein tumse hui sab mulakatein,

Ummeed ho hamari aanewala kal ho tum,
Hamare dilon mein basi mohabbat ho tum

· 1 Like · Dec 14, 2018 at 12:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Woh Ek Larki Tum Hi To Ho

Woh Ek Larki Jo Meri Ghazal Hay
Woh Ek Larki Jo Khilta Kanwal Hay
Woh Ek Larki Jo Taj Mehal Hay

Woh Ek Larki Tum Hi To Ho

Woh Us Kay Gassu Kali Ghatain
Woh Us Ki Palkon Se lehrati Hawain
Woh Us Ki Yaadain Meri Wafayen

Woh Ek Larki Tum Hi To Ho

Woh us Ki Aankhain Chamaktey Moti
Woh Us Ki Palken Aankhon Ko Chootin
Woh Us Kay Gaal Sehra-e-Moti

Woh Ek Larki Tum Hi Tu Ho

Woh Us Kay Lab Gulab Jaise
Woh Us Ka Maatha Khuli Kitab Jaisa
Woh Us Ki Rangat Shabab Jaisi

Woh Ek Larki Tum He To Ho

· 1 Like · Dec 10, 2018 at 20:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Pahale To Apane Dil Kii Razaa Jaan Jaiye

pahale to apane dil kii razaa jaan jaiye
phir jo nigaah-e-yaar kahe maan jaiye


pahale mizaaj-e-raahaguzar jaan jaiye
phir gard-e-raah jo bhii kahe maan jaiye


kuchh kah rahii hai aap ke siine kii dhaDakane
merii sunen to dil kaa kahaa maan jaiye


ik dhuup sii jumii hai nigaahon ke aas paas
ye aap hain to aap peh qurbaan jaiye


shaayad huzuur se koii nisbat hamen bhii ho
aaNkhon mein jhaaNk kar hamen pahachaan jaiye

· 1 Like · Dec 06, 2018 at 07:12
Category: love
 
Poetry / Love

Abdul Rehman Rehman

Har Bezabaan Ko Sholaa Navaa Kah Liyaa Karo

har bezabaaN ko sholaa navaa kah liyaa karo
yaaro sukuut hii ko sadaa kah liyaa karo

Khud ko fareb do k na ho talKh zindagii
har sangdil ko jaan-e-vafaa keh liyaa karo

gar chaahate ho Khush rahen kuchh bandagaan-e-Khaas
jitne sanam hain un ko Khudaa keh liyaa karo

insaan kaa agar qad-o-qaamat na barh sake
tum is ko nuqs-e-aab-o-havaa keh liyaa karo

apne liye ab ek hii raah-e-nijaat hai
har zulm ko razaa-e-Khudaa keh liyaa karo

le de ke ab yahii hai nishaan-e-ziyaa "Qateel"
jab dil jale to us ko diya keh liyaa karo

· 1 Like · Dec 05, 2018 at 22:12
Category: love
 
Poetry / Songs Lyrics

Abdul Rehman Rehman

Zindagii Men To Sabhii Pyaar Kiyaa Karte Hain

zindagii men to sabhii pyaar kiyaa karte hain
main to mar kar bhii merii jaan tujhe chaahuNgaa

tuu milaa hai to ye ehasaas huaa hai mujhako
ye merii umr mohabbat ke liye thoDii hai
ik zaraa saa Gam-e-dauraa kaa bhii haq hai jis par
main ne wo saaNs bhii tere liye rakh chhoDii hai
tujh peh ho jaauNgaa qurabaan tujhe chaahungaa

apne jazbaat men naGmaat rachaane ke liye
main ne dhaDakan kii tarah dil men basaayaa hai tujhe
main tasavvur bhii judaaii kaa bhalaa kaise karuN
main ne qismat kii lakiiron se churaayaa hai tujhe
pyaar kaa ban ke nigehabaan tujhe chaahungaa

terii har chaap se jalte hain Khayaalon men chiraaG
jab bhii tuu aaye jagaataa huaa jaaduu aaye
tujhako chhuu luuN to phir ae jaan-e-tamanna
mujhako
der tak apane badan se terii Khushbuu aaye
tuu bahaaron kaa hai unawaan tujhe chaahuNgaa

· 5 Like · Dec 05, 2018 at 16:12
Category: songs-lyrics
 

Abdul Rehman Rehman

Gender :
Country : Pakistan

Followers : 0  
Total Updates : 99
Member Since : Feb 02, 2006

More Details

Educaiton : Masters
Religion : Islam
Caste : Sheikh
Language : Urdu
    This user has no friend
Coming Soon!


    This user has not uploaded any photo.
    Coming Soon!
    Dua
    Posted by meena kumari
    Posted on : Nov 17, 2016

    Random Post

    Sponored Video

    New Pages at Social Wall

    New Profiles at Social Wall

    Connect with us


    Facebook

    Twitter

    Google +

    RSS