Please Login to Send Message.

Hafeez Ur Rehman

From : Pakistan
Followers : 0   Total Updates : 50
Member Since : Mar 02, 2003
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Mohabbat Jeet Gai

Tum se milne ka waada tha
Ji karta tha!!
Jaise muj ko tarpati ho
Waise hi tum ko tarpaon
Tum se aaj milne na jaun
Lekin aaj bhi dekho Jaanaa
Meri Mohabbat Meri Zid se!!
Jeet gai hai.

· 1 Like · Nov 23, 2018 at 04:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Main Tera Ajj Hoon Kal Par Nah Dekh Taal Mujhe

Main tera ajj hoon kal par nah dekh taal mujhe
main tera roop hoon joban main hi sanbhaal mujhe

mere hi dum se hain teri yeh dharkanain zinda
main tera qalab hoon siney se mat nikaal mujhe

main tere bakhat ka sika hoon yeh khayal rahe
yunhi faqeer ki jholi main tu nah daal mujhe

milain mujh main mohabat ke goher tujh ko
main teri chah ka sagar hoon kuch khangal mujhe

tu dharkanoon ko choranay ke fun se waaqif hai
tu dil ka chor hai itna nah tha khayal mujhe

usse khabar hai mere ghum hi maal hain mera
naye ghum se woh rakhta hai mala maal mujhe

main jin ko ley gaya bam-e-arooj par
woh muntazir hain ke kab aaye ga zawal mujhe

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 23:11
Category: love
 
Advertisement
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Zindagi Ki Haqiqat Main Kia Jaanon Main Tu Awara Hon

zindagi ki haqiqat main kia jaanon main tu awara hon
naam ko chhor kaam ki baat kar par main tu nakara hon
zindagi ko chhor k moot ko jeney nikla main
zindagi ko jo ada na kar saka wo ik kafara hon
raat ki tarikeon main chamkta raha dosrey sitaron k saath
waqtey sehar main jo reh gia tanha wo ik sitara hon
choota saath har kissi ka par na choota saath samandar aur kinarey ka
chhor dyea saath jis ka samandar ney wo ik kinara hon
dunyea hey ik essi aag jo jalti hey tu bharkti jati hey
aur main, jaltey hee buj ghea aisa ik sharara hon
tera saath nibhaney ka wada keunkar karon bilal
main tu apna na ho saka tu keun kahon k tumhara hon

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Zehn K Khayalon Mein

Zehn k khayalon mein
Rooh k ujalon mein

Zindagi ki jheelon mein
Zaat ki faseelon mein

Ratjagon k daman mein
Khawahishon k aangan mein

Dil k khushk sehra mein
Chashm-e-tar k darya mein

Dard k jahan mein bhi
Ashq-e-be zuban mein bhi

Aur khuch nahin rehta
"Teri Yaad Rehti Hai"

· 1 Like · Nov 19, 2018 at 11:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Bay Zameen Logon Ko

Bay zameen logon ko
bay qarar ankhon ko
badnaseeb qadmo ko
jis taraf bhi lay jain
raston ki marzi hay

bay nishan jazeeron par
badguman shahron mein
bay zuban musafar ko
jis taraf bhi bhatka dain
raston ki marzi hay

rok dain ya barhnay dain
thaam lain ya girnay dain
wasal ki lakeeron ko
tor dain ya milnay dain
raston ki marzi hay

ajnabi koi laa kar humsafar bana dain
saath chalnay walon ki raakh bhi ura dalain
ya musaftain saree
khaak mai mila dain
raston ki marzi hay

· 1 Like · Nov 18, 2018 at 15:11
Category: love
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Merey Mohsinon Merey Doston

merey mohsinoN merey dostoN mujhey zindagi ki dua na do
maiN to pyar ke qaabil nahiN mujhey dil meiN itnee jagah na do

mujhey shauq-e-zeest na rahaa mujhey zindagi ne diya hai kya
maiN marooN yeh mujh ko haque to hai, maiN jiyuN yeh mujh ko sazaa na do

woh baney thay merey jo humsafar wohi chal diye mujhey chhor keh
maiN jahaN se aaya hooN ghamzada, mujhey phir waheen se sadaa na do

is zindagi ki shaam ka, mujhey dar tha is anjaam ka
mujhey aik ansoo ki tarah kaheen aankh se tum giraa na do

ALMAS is dayaar meiN ik saya-e- diwaar maiN
maiN jo so gayaa hooN chain se mujhey neend se phir jaga na do

· 1 Like · Nov 18, 2018 at 08:11
Category: love
 
Poetry / Poetry Sms

Hafeez Ur Rehman

Pyar Ki Shamma Jala Kar To Dekho

Pyar Ki Shamma Jala Kar To Dekho
Zara dil Ki Dunya Saja Kar To Dekho
Ho Na Jay Muhoobat To Kehna
Zara hum Se Nazreen Mila Kar To Dekho

· 1 Like · Nov 17, 2018 at 23:11
Category: poetry-sms
 
Poetry / Love

Hafeez Ur Rehman

Mere Liye Namumkin Hai Par Tum Bhi Nahi Kar Paao Ge

Mere liye namumkin hai par tum bhi nahi kar paao ge
Hum judaa ho jayein ge tau dil ko kya samjhaao ge

Khushi ka yeh mauqa ke tum manzil ko paa rahe ho
par yeh gham zaroor hai ke mujh se door jaa rahe ho

Dekho jaate jaate tum meri simt na dekhna
Aur na hi koi khayaal mera apne dil mein uss pal rakhna

Warna tum bhi ro do ge aur mujh ko bhi rulaao ge
Hum judaa ho jayein ge tau dil ko kya samjhaao ge

Jo pal sath bitaaye woh yaad yaqeenan aayein ge
Kabhi karein ge namm naina, aur kabhi hansayein ge

Jab yaad meri aaye gi tau tum chaand ko dekha karna
Meri nazar hai waheen kehin bas yeh socha karna

Koi bhi halaat hon aise mein tum muskuraao ge
Hum judaa ho jayein ge tau tum dil ko kya samjhaao ge

· 2 Like · Nov 17, 2018 at 17:11
Category: love
 
Poetry / Relegious

Hafeez Ur Rehman

Ho Karbala Ya Karachi Ya Koee Aur Maqaam

ho karbala ya karachi ya koee aur maqaam
hussainiyat kai purastaar maray jatay hain

gham-e-hussain ka matlab asal mai ishq-e-rasool
magar har ehad mai yeh jeedar maray jatay hain

dil tadapta hai buhut dekh kay laashon kay juloos
haiwaan zinda hain insaan maray jatay hain

dehshat gardi mai buhut naam kamaya humnay
bay zameer qaum kai akhlaaq maray jatay hain

suna tha feham aur idraak kai malik thay ek zamany main
kya qayamat hai bashaour qalam kar maray jatay hain

jab bhi tareekh ko khola tu khoon behnay laga
deen-e-islam kai sardaar maray jatay hain

· 1 Like · Apr 01, 2016 at 15:04
Category: relegious
 

Hafeez Ur Rehman

Gender :
Country : Pakistan

Followers : 0  
Total Updates : 50
Member Since : Mar 02, 2003

More Details

Educaiton : Intermidiate
Religion : Islam
Caste :
Language : Panjabi
    This user has no friend
Coming Soon!


    This user has not uploaded any photo.
    Coming Soon!

    Random Post

    Sponored Video

    New Pages at Social Wall

    New Profiles at Social Wall

    Connect with us


    Facebook

    Twitter

    Google +

    RSS