Poetry / Uncategorized

Amina Noor

Abhi Sazish Ka Mausam Hai Abhi Tum Ishq Mat Karna

· 1 Like · Apr 25, 2014 at 18:04
Category: uncategorized
 
Poetry / Uncategorized

Muzammil Shahzad

Umar Bhar Ki Is Naao Ka

Umar ki is nao ka chalna bhi kya, rukna bhi kya
kirmik shab hon mra jalna bhi kya, bujhna bhi kya

ik nazar uss chashm-e tar ka meri janib dekhna
aabshar-e noor ka phir khaak par girna bhi kya

zakham ka lagna hamein darkaar tha, so uss ke baad
zakham ka risna bhi kya aur zakham ka bherna bhi kya

tairay ghar taq aa chuki hai door ke jungle ki aag
ab tra is aag se darna bhi kya, larna bhi kya

Dur dareechay wa magar bazaar galian mohar band
aisay zalim shehar mein jeena bhi kya, marna bhi kya

tujh se ae sang e sada, is rezah rezah daur mein
ik zara se dil ki khatir dosti karna bhi kya

· 1 Like · Feb 21, 2014 at 13:02
Category: uncategorized
 
Poetry / Uncategorized

Muzammil Shahzad

Kia Dhoond Rahe Hain

Is sheher-e-sitamgar mai wafa dhoond rahay hain
Nadaan hain hum bhi k yeh kia dhoond rahay hain

Hum log muqadar k sakandar to nahi hain
Kia soch kar phir aab-e-baqa dhoond rahay hain

Khamosh fizaon mai yeh bechain parinday
Is habs k mausam mai hawa dhoond rahay hain

Jo dil se nikalte hi tere qalb ko chhu le
Hum log wohi harf-e-dua dhoond rahay hain

Aik shakhs ne manga tha kabhi hum ko dua mai
Us shakhs ko ab tak ba Khuda dhoond rahay hain

· 1 Like · Jan 25, 2014 at 15:01
Category: uncategorized Tags: Poetry
 
Poetry / Uncategorized

Muzammil Shahzad

Kuch Din To Baso Meri Aankhon Mai

kuch din to baso meri aankhon mein
phir khawab agar ho jao to kya

koi rang to doo marey chehray ko
phir zakham agar mehkao to kya

jab hum hi nah mehkay phir sahib
tum baad-e Saba kahlau to kya

ik ainaa tha so toot gaya
ab khud se agar sharmao to kya

tum aas bandhane walay thay ,
ab tum bhi hamein thukrao to kya

duniya bhi wohi aur tum bhi wohi
phir tum se aas lagao to kya

mein tanha tha mein tanha hon
tum aao to kya nah aao to kya

jab dekhnay wala koi nahi
bujh jao to kya gehnao to kya

ik vahm hai yeh duniya is mein
kuch kho to kya aur pao to kya

hai yun bhi zayan aur yun bhi zayan
jee jao to kya mar jao to kya. .

· 1 Like · Nov 06, 2013 at 14:11
Category: uncategorized
 
Poetry / Uncategorized

Muzammil Shahzad

Kuch Zikr Karo Us Mousam Ka

Kuch Zikr Karo Us Mousam Ka,
Jab Rim Jhim Raat Raseeli Thi
Jab Subah Ka Roop Roopehla Tha, Jab Shaam Behter Saheli Thi

Jab Phool Mehakti Raahon Per, Qadmon Se Gajar Baj
Uthtay thay
Jab Tan Mein Saans Kay Sargam Ki, Her Deepak Taan Sureeli
thi

Jab Khwab Sarab Jazeeron Mein, Khush Fehm Nazer Khul Jati thi
Jab
Pyar Pawan Kay Jhonkon Say, Her Yaad Ki Mouj Tasheeli Thi

Amrit Ki Mehak
thi Baaton Mein, Nafret Ke Sharar Thay Palkon Per
Woh Hont Nehayet Meethay
thay, Woh Aankh bohat Zehreeli thi

Mohsin Us Shehar Mein Marnay Ko ab Is
ke Siwa Kuch Yaad Nahin
Kuch Zehar tha shehar ke Paani Mein Kuch Khaak ki
Rangat neeli thi

· 1 Like · Mar 29, 2013 at 14:03
Category: uncategorized
 
Poetry / Uncategorized

Muzammil Shahzad

Meri Gardishon K Wo Din Nahi

Meri gardishon k wo din nahi, Mujhe yaad un ki jafa nahi
Kabhi mil gia to khushi hoi, Jo nahi mila to gila nahi

Wohi shorishen hain wohi tarap, Wohi dard-o-gham, wohi soz-e-dil
Yahi zindagi ha to kia kahon?, Koi iss se barh k saza nahi

Unhen pa k bhi jo na pa saka, ye meray naseeb ki bat thi
Wo hazar mujh se juda rahe, Mere dil se phir bhi juda nahi

Wohi apni tarz-e-wafa rahi, Wohi un ki mashk-e-jafa rahi
Wo zulm karte hain iss trah, Jaise mera koi Khuda nahi

Ye mareez-e-ishq ka haal ha, Aisi zindagi bhi wabal ha
Kabhi dard ha to dawa nahi, JO dawa mili to shifa nahi

· 1 Like · Feb 21, 2013 at 14:02
Category: uncategorized Tags: Khuda
 
Poetry / Uncategorized

Muzammil Shahzad

Koi Wi Kam Na Hoya

Ajj da din wi awaien e langiyaa, koi wi kam na hoya
Purab wallon’ chariya suraj, pachchim aan khaloya
Naa milya may khalqat nu, na yaad Khuda nu keeta
Naa may parhi Namaz tay naa may jaam sharaab da peeta

· 1 Like · Feb 13, 2013 at 13:02
Category: uncategorized Tags: Khuda
 
A Decade Long Daily Soap
Posted by Funny Videos
Posted on : Dec 16, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS