Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Abhi Kuch Din

Abhi Kuch Din Mujhe
Meri Muhabbat Azmanay Do
Mujhe Khamosh Rehnay Do
Suna Hai Ishq Sacha Ho
Tu Khamoshi Laho Ban Kar
RagoN Main Nach UthTii Hai
Zara Uski RagoN Mai
Khamoshi Ko Jhoom Janay Do

Abhi Kuch Din Mujhe
Meri Muhabbat Azmanay Do

Usay Mai KyuN Bataon
Mai Ne Us Ko Kitna Chaha Hai
Bataya Jhoot Jata Hai
Sachi Baat Ki Khushboo Tu
Khud Mehsus Hoti Hai
Meri Baatain, Meri Sochain
Usay Jan Janay Do

Abhi Kuch Din Mujhe
Meri Muhabbat Azmanay Do

· 1 Like · Mar 17, 2018 at 00:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Ashk Bahatay Kyun Ho?

Laal matti mein milatay kiyon ho ?
hum nashen! asshk bahatye kiyon ho ?

haan agar pyar hai mujh se to kaho !
tum mujhe itna rulatay kiyon ho ?

gir mitana hi zurori thehra
raaygan naqsh banatay kiyon ho ?

jaan-e jaan! apne hsin khowaboon ki
raakh darya mein bahatye kiyon ho ?

kon aaya hai' kisay aana hai
deep sehraa mein jalatay kiyon ho ?

kya naya rang banana hai tumhe
rang' rangon mein milatay kiyon ho ?

· 1 Like · Mar 16, 2018 at 16:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Udaas Mat Hua Karo

· 1 Like · Mar 16, 2018 at 10:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Virsa

· 4 Like · Mar 16, 2018 at 04:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Agar Aa Sako To Aana

Aagar Aa Saku Tu Aana
Parbat Ke Us Paar
JahaN Mai Rehta HuN
Jisay Turbat Kehtay HaiN
Mere Liye Koii Phool Mat Lana
Na Meri Turbat Ko AshkoN Say Bhigona
Meri Tamam TasveereN, Aur Mere Khat
Apne HaathoN Say Bhaley Jala Dena
Ke Mere Khat Meri TasveereN
Chahe Tum Jala Daalo, Ya Sabh Mita Daalo
Phir Bhi!
Mai Jab Tak Tumharay Dil MaiN HuN
Mai Mar Nahi Sakta

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 22:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Guzray Hue Ayaam

apne maazi ke tasawwur se hrasan hon mein
apne guzray hue ayyaam se nafrat hai mujhe

apni be car tamanaon pay sharminda hon
apni be sood umedon pay nedamat hai mujhe

mere maazi ko andheron mein daba rehne doo
mera maazi meri zillat ke siwa kuch bhi nahi

meri umedon ka haasil meri kawish ka sila
ik be naam aziat ke siwa kuch bhi nahi

kitni be car umedon ka sahara le kar
mein ne ewaan sajaye thay kisi ki khatir

kitni be rabt tamanaon ke mabham khakay
apne khowaboon mein basaye thay kisi ki khatir

mujh se ab meri mohabbat ke fasanay nah kaho
mujh ko kehnay doo kay mein ne inhen chaha hi nahi

aur woh mast nigehain jo mujhe bhool gayeen
mein ne un mast nigahon ko saraha hi nahi

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 15:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Bhook

suno jo bhook hoti hai
! !. . bohat safaaq hoti hai
kisi firqay kisi mazhab se is ka vaastaa kaisa

tadapti aant mein jab bhook ka shola bharakta hai
to woh tahazeeb ke be rang kaghaz ko
tamaddun ki sabhi jhooti dalilon ko
jala kar raakh karta hai
nazar bhukhi ho to phir chodween ka chaand bhi roti sa lagta hai
khudi ka falsafah. . .
jhooti daleelen sab sharafat ki
mehez bakwaas lgty hain. .. .

haqeeqat mein yahi sab se bara sach hai
kay yeh jo bhook hoti hai
barri bud-zaat hoti hai

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 09:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Fasane Se Fasana Nikle

yuhin mil bethnay ka koi bahana niklay
baat se baat fasanay se fasana niklay

phir chalay zikar kisi zakham ke chhil jane ka
phir koi dard koi khawab purana niklay

phir koi yaad koi saaz uttha le aaye
phir kisi saaz ke parday se taranah niklay

yeh bhi mumkin hai kay sahraoon mein gum ho jayen
yeh bhi mumkin hai kharabon se khazana niklay

aao dhunden to sahi ehley wafa ki bastii
kya khabar phir koi gum gashta thikana niklay

yaar aisi bhi nah kar baat kay dono ro den
yeh talluq bhi faqat rasm-e zamana niklay

yeh bhi hai ab nah utthay naghma zanjeer
yeh bhi hai hum sa koi aur deewana niklay

· 1 Like · Mar 15, 2018 at 03:03
Category: sad
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Taaluq

ik talluq ko bikharne se bachanay ke liye
mere din raat guzarte hain adakari mein

woh kisi aur dawa se mera karta hai ilaaj
mubtala hon mein kisi aur hi bemari mein. .! !

· 1 Like · Mar 14, 2018 at 21:03
Category: sad
 
Kisi se na Kehna
Posted by asiya faheem
Posted on : Dec 11, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS