Poetry / General

Hina Raheel

Chalo So Jatay Hain

chalo so jatay hain ab phir kisi sach ki talash mein
rahin sansen to subh phir is jhooti dunya ka deedar karna hai

· 1 Like · Mar 19, 2018 at 08:03
Category: general
 
Poetry / General

Ijunoon

Cham Cham Cham Aaath Aanay Ki Chaliya Aath Anay Ka Paan

Cham Cham Cham
Athanay Ki Chaliya

Athanay Ka Paan
Chal Meray Ghoray Hindustan

Hindustan Ki Pahli Gali
Us Me Rahta Liaqat Ali

Liaqat Ali Ko Goli Lagi
Sari Duniya Ronay Lagi

Rotay Rotay bhook lagi
Hum Nay Khaee Mong Phali

Mong Pahli Me Dana Nahi
Hum Tumhare Nana Nahi

Nana Gaye Dilli
Dilli Say Laye Billi

Billi Ne Diye Do Bachay
Allah Miyan Sachay

Sachay Sachay Jaengay Bhai Ki Dulhan Laengay
Bhai Ki Dulhan Kali, 100 Nakhray Wali

Aik Nakhra Toot Gaya Bhai Ka Muh Soojh Gaya
Soojay Soojay Jaingay Dosri Dulhan Laengay

Dusri Dulhan Gori Ghar Main Hogayi Chori
Chori Chori Jaengay Teesri Dulhain Laengay

Teesri Dulhan Achi Ghar Mai Hoogayi Bachi
Bachi Ne Khayi Machli

Machli Me Nikla Kaanta
Ammi Nay Maara Chanta

Chanta Baday Zore Ka
Hum Nay Khayi Polka

Polka Bari Thandi
Hum Gaye Mandi

Mandi Say Laye Aalooo
Aaloo Ke Peechay Lag Gaya Bhaloo

· 2 Like · Mar 19, 2018 at 02:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Shahida Malik

Badal Gaya Quon Uss Ka Mizaj Kuch Hi Dinon Mein

Badal gaya quon uss ka mizaj kuch hi dinon mein
woh to kehta tha badaltay log usay achay nahee lagte

· 1 Like · Mar 18, 2018 at 20:03
Category: sad
 
Poetry / General

Minu Malik

Ye Mohabbat To Ik Shararat Hai

· 1 Like · Mar 18, 2018 at 14:03
Category: general
 
Poetry / Love

Moona Malik

Tum Se Na Kat Sake Ga Andheron Ka Yeh Safar

· 6 Like · Mar 18, 2018 at 08:03
Category: love
 
Poetry / Sad

Shabana Gul

Koi Batao Ke Aakhir Ye Maajra Kya Hai?

· 1 Like · Mar 18, 2018 at 02:03
Category: sad
 
Poetry / General

Ijunoon

Bohat Arsa Hua Ik Din! Btaya Tha Mujhe Uss Ne

Bohat arsa hua ik din!
Btaya tha mujhe uss ny!
Banana kch nahi aata!

Aagar main kuch banati hon
Tu bas chaye banati hon......

Main chaye ki dewani hon
Bohat achi banati hon.......
Peo ge na ?

Aur main iss baat pr ....
muskurata he rha tha K

Banana kuch nahi aata
Banati ho to bs chaye..

Mujhe chaye se uljhan hai
Nahi peeta, nahi peeta.....

Aur ab iss baat ko guzry
zamanay ho gaya kitnay,

Nahi maloom mujh ko k
Wo kesi hai?kahan py hai?

Magar ab CHAYE
barri kasrat se peta hu
Bari hasrat sy peta hu !!

· 1 Like · Mar 17, 2018 at 19:03
Category: general
 
Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hamara Kia Hai

hum to majboor wafa hain magar ae jaan jahan
apne ashaaq se aisay bhi koi karta hai

teri mahifl ko khuda rakhay abadd tak qaim
hum to mehman hain ghari bhar ke hamara kya hai

· 2 Like · Mar 17, 2018 at 12:03
Category: sad
 
Poetry / General

Muzammil Shahzad

Anjaam

hain labraiz aanhon se thandhi hawae
udasi mein doobi hui hain ghatain

mohabbat ki duniya pay shaam aa chuki hai
siya posh hain zindagi ki fizayen

machalti hain seenay mein laakh aarzoyeen
tadapti hain aankhon mein laakh iltijaayen

taghaful ke agosh mein so rahay hain
tumahray sitam aur meri wafayen

magar phir bhi ae mere masoom qaatil
tumhe pyar karti hain meri duayen

· 1 Like · Mar 17, 2018 at 06:03
Category: general
 
Gandhara Industries Limited
Posted by iJunoon
Posted on : Jun 08, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS