Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Zindagi Talkh Haqeeqat Kay Siwa Kuch Bhi Nahi
Merey Daaman Mein Salwatoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Aik Omar Lagi Taraashney Mein Khud Ko Magar
Mila Haathoon Ko Zakhmoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Bazahir Dil To Har Aik Baat Par Dharakta Hai
Warna Is Mein Teri Murat Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Raas Aaya Hi Nahi Haqeeqat Kay Ujaloon Ka Safar
Aur Takhayul Mein Bhi Andheroon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Main Ney Sehra-E-Zeest Mein Barsoon Khaak Chaani Hai
Reh Gaya Jholi Mein Wehshatoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Silsiley Teri Mulaqatoon Kay, Terey Khayaal Kay
Aur Aankhoon Mein Ratjagoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Kabhi Jo Dekhta Hoon Deevar-O-Dar Apney Makaan Kay
Nazar Aata Hai Mujhey Patharoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Kia Dhoondtey Ho Waris~, Khizaan Ki Manind Wujood Mein Tum
Is Shajar Mein Sookhey Pattoon Kay Siwa Kuch Bhi Nahi

Advertisement
· 2 Like · Sep 25, 2016 at 06:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

chocolate sofa decorating.
Posted by Jalaluddin Ahmed
Posted on : May 23, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS