Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Zindagi per Ataab rehnay Do
Rat jagon ka Azaab rehnay Do
Zikar chero wisaal ka ab to
Hijjar ka iztaraab rehnay Do
Itna kafi hai tum humaray ho
Doosron ko janab rehnay Do
Koi tabeer ho na ho un ki
Meri ankhon mein khuwab rehnay Do
Tum se sailaab ruk nahi saktay
Bastiyaan zair-e-aab rehnay Do
Tum khizaan ka paigaam laye ho
Phir bhi ek do gulaab rehnay Do
Ab na plto naya warq koi
Band ghum ki kitaab rehnay Do
Rat jagon ka Azaab rehnay Do
Zikar chero wisaal ka ab to
Hijjar ka iztaraab rehnay Do
Itna kafi hai tum humaray ho
Doosron ko janab rehnay Do
Koi tabeer ho na ho un ki
Meri ankhon mein khuwab rehnay Do
Tum se sailaab ruk nahi saktay
Bastiyaan zair-e-aab rehnay Do
Tum khizaan ka paigaam laye ho
Phir bhi ek do gulaab rehnay Do
Ab na plto naya warq koi
Band ghum ki kitaab rehnay Do
Advertisement
·
1 Like ·
Feb 03, 2017 at 09:02
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video