Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Zindagi Jo Mujhe Muddaton Aazmaati Rahi
Har Lamha Meri Mushkilon Ko Barhaati Rahi

Jeene Ko To Main Yoon Hi Zindagi Jeeta Raha
Main Saans Leta Raha, Woh Karam Farmaati Rahi

Musibaton Ka Hans Kar Maine Saamna Jo Kiya
Woh Mujhpar Aur Bhi Musibatein Dhaati Rahi

Main Uski Nawazishon Par Muskuraata Raha
Aur Woh Tanzia Mujhpar Muskuraati Rahi

Zindagi Jeene Ka Salika Na Aaya Mujhe
Shayed Isi Liye Woh Mujhe Sataati Rahi

Ab To Baaki Na Rahi Kisi Cheez Ki Talab
Des Pardais Woh Mujhe Itna Phiraati Rahi

Kisko Rafeeq Samjhoon Aur Kisko Raqeeb
Apni Parchai Se Bhi Mujhe Daraati Rahi

Bhari Mehfil Mein Khud Ko Mehsoos Kiya Tanha
Mujhe Har Lamha Yeh Kiski Yaad Dilaati Rahi

Advertisement
· 1 Like · Sep 02, 2016 at 05:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Jassi Sidhu - Naa Rukiyeh
Posted by Punjabi Music Videos
Posted on : Nov 03, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS