Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Wo Ishq Jo Hum Say Routh Gia
Ab Us Ka Haal Sunaye Kia
Koii Mehar Nahi Koii Qehar Nahi
Phir Sacha Sher Sunaye Kia


Ak Hijar Jo Hum Ko Lahaq Hay
Ta Dair Usay Dohraye Kia
Wo Zehar Jo Dil Main Utaar Liya
Phir Us Kay Naaz Uthaye Kia


Phir Aankhain Lahoo Say Khali Hain
Ye Shamein Bujhnay Wali Hain
Hum Khud Bhi Kisi Kay Sawali Hain
Is Baat Per Hum Sharmaye Kia


Ak Aag Ghum -E- Tanhaii Ki
Jo Saray Badan Main Phail Gaii
Jab Jism Hi Sara Jalta Ho
Phir Daaman -E- Dil Bachaye Kia


Hum Nagma Sira Kuch Ghazlon Kay
Hum Surat Gar Kuch Khuwabon Kay
Be-Jazba -E- Shouq Sunaye Kia
Koii Khowab Na Ho Tu Bataye Kia

Advertisement
· 1 Like · Oct 22, 2016 at 14:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Aey Parwardigar
Posted by samreen anjum
Posted on : Jul 07, 2021

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS