Poetry / General

Muzammil Shahzad

Raaton Ki Siyahee Mai Seher Ghol Rahe Hain
Gungay Hain Jahan Sab, Wahan Ham Bol Rahe Hain

Biktay Hain Na Jhuktay Hain Na Dabte Hain Kaheen Wo
Kutch Laug Jahan Mai Barhay Anmol Rahe Hain

Ham Youn Bhi Haqiqat Ko Kabhi Jan Na Paaye
Har Shakhs K Chehray Pe Kayee Khoul Rahe Hain

Kirdar Nigari Bhi Boht Khoob Naheen Thi
Iss Uljhi Kahani Mai Kayee Jhol Rahe Hain

Sadd-Haif K Khuddari Ko Youn Bhaint Charha Kay
Hathon Mai Hamaray Sada Kashkaul Rahe Hain

Kuch Log Faqat Apnay Mafadaat Ki Khatir
Ikk Zehr Sa Mahoul Mai Kyun Ghol Rahe Hain

Kuch Wo Bhi Hawaon Mai Urtay Phirtay Hain Zehra
Kuch Ham Bhi K Parvaaz Ko Par Taul Rahe Hain

Advertisement
· 1 Like · Oct 22, 2016 at 06:10
Category: general
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS