Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Usi Aik Fard K Wastay, Meray Dil Mai Dard Hai Kis Liye?
Meri Zindgi Ka Mutalba, Wahi Aik Fard Hai Kis Liye?
Tu Jo Shehr Main Hi Muqeem Hai, To Musafirat Ki Fiza Hai Kyon?
Tera Karwaan Jo Nahi Gya To Hawa Mai Gard Hai Kis Liye?
Na Jamal-O-Husn Ki Bazm Hai, Na Janoon-O-Ishq Ka Azm Hai
Sar-E-Dasht Raqs Main Har Ghari Koi Baad-E-Gard Hai Kis Liye?
Jo Likha Hai Meray Naseeb Mai, Kahin Tu Nay Parh To Nahi Lia
Tera Hath Sard Hai Kis Liye? Tera Raang Zard Hai Kis Liye?
Wo Jo Tark-E-Rabt Ka Ehed Tha, Kahin Totnay To Nahi Laga
Teray Dil K Dard Ko Daikh Kar, Meray Dil Mai Dard Hai Kis Liye?
Koi Wasta Jo Nahi Raha, Teri Aankh Mai Ye Naami Hai Kyon?
Meray Gham Ki Aag Ko Daikh Kar Teri Aah Sard Hai Kis Liye?...

Advertisement
·
1 Like ·
Sep 19, 2016 at 00:09
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video