Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Aastino mein naag paale hain,
Loog be maut marne waale hain,

Raunaken jisme sar ba sajda thi,
Us haveli me to aaj jaale hain,

zakhm bakhshe hai usko phoolo ne,
Jisne pathar nichor dale hain,

Har parinde ki rooh larza hain,
Aise phandey soonahre dale hain,

Sheesh mahloon ki aaj khair nahi,
Waqt ne sang wo uchale hain,

Sach ko jhutla diya tha jisne ,
Aaj uski zubaa me chhale hain,

Unko koi samagh nahi sakta,
Unke andaaz hi nirale hain,

Jo bhi katil hamare haiN 'shoeb',
Phool se chehre bhole bhale hain,

Advertisement
· 1 Like · Apr 27, 2016 at 02:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS