Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

tumhari aankh kehti he hisar e zaat se niklo
tamanna meri ban jao shab e barbaad se niklo

kinara thaam lo dil ka bhula do har gila shikwa
kabhi sachi hansi hans do purani yaad se niklo

khayal e yar acha hai magar jis ne wafa naa ki
palat kar phir sada naa do dar e faryad se niklo

nahi koi mohabbat bhi hijr e rut bhi raqabat bhi
to ye dharka sa kya kahiye wehem ki ghaat se niklo

sukhanwar ham se kehte hen saja lo aankh me kuch khwab

dharkna dil ko sikhla do amawas raat se niklo

sar e maqtal jo jate ho na ho darmandgi kuch bhi
zamana dekh tham jaye kuch is andaz se niklo

Advertisement
· 1 Like · Oct 03, 2016 at 20:10
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Choti si Baat
Posted by mohammad ali khan
Posted on : Jul 17, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS