Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Titliyon K Mosam Mein, Nochna Gulaboon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai.?
Dekh Kr Prindon Ko, Baandhna Nishaanon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai.?

Sheher K Ye Baashinday, Nafratoon Ko Bo Kr Bhi
Entizaar Kartay Hain, Fasal Ho Mohabbat Ki
Bhool Kr Haqeeqat Ko, Dhoondna Saraabon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai.?

Tum Abhi Naye Ho Naa!! Es Liye Pareshaan Ho
Aasmaan Ki Jaanib Es Tarha Say Mat Dekho
Aafaten Jab Aani Hon, Tootna Sitaaron Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai.?

Ajnabi Fizaaon Mein, Ajnabi Musafir Say
Apnay Her Tal'luq Ko Daaimi Samajh Lena
Aur Jab Bichar Jana, Maangna Duaaon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai.?

Khaamoshi Mera Sheva, Guftugoo Huner Us Ka
Meri Be_Gunaahi Ko Log Kaisay Maanein Gay.?
Baat Baat Per Jab K Maangna Hawaalon Ka
Reet Es Nagar Ki Hai, Aur Jaanay Kab Say Hai.????

Advertisement
· 1 Like · Jan 30, 2016 at 21:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

For grown up kids.
Posted by Usaman Khan
Posted on : Dec 27, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS