Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

tazad e jazbaat mein yeh naazuk maqam aaiya tou kya karo gay
mein ro raha hon tou hans rahay ho mein muskuraya tou kya karo gay

mujahe tou iss darja waqt e rukhsat sakoo ki talqeen kar rahay ho
magar kuch apnay liye bhi socha mein yaad aaiya tou kya karo gay

kuch apnay dil peh bhi zakhm khao marey lahoo ki bahaar kab tak
mujahe sahara bananay waalo , mein larhkhrhaya tou kya karo gay

abhi tou tanqeed ho rahi hai marey mazaq e junoo peh lekin
tumhari zulfon ki barhami ka sawal aaiya tou kya karo gay

abhi tou daman chhura rahay ho , baggar kay qabil say ja rahay ho
magar kabhi dil ki dharkanon mein shareek paaya tou kya karo gay

Advertisement
· 1 Like · Mar 21, 2016 at 00:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

What we do in Exam = Empty Plate
Posted by kamran kaliya
Posted on : Feb 01, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS