Poetry / Love

Muzammil Shahzad

barsoo kay baad dekha ik shakhs dilruba sa
ab zehan mein nahi hai par naam tha bhula sa

abrow khche khche say ankhain jhuki jhuki si
baten ruki ruki si , lehja thaka thaka sa

alfaaz thay keh jugno , aawaz kay safar mein
ban jaye jungalon mein jis tarah rasta sa

khawabon mein khawab iss kay yaadion mein yaad iss ki
neendon mein ghul gaya ho jaisay keh ratjaga sa

pehlay bhi log aaye kitney he zindagi mein
woh har tarah say lekin auron say tha juda sa

agli mohabbaton nay woh na muradiyan dein
taaza rafaaqaton say dil tha dara dara sa

kuch yeh keh muddaton say hum bhi nahi thay roye
kuch zeher mein bhuja tha ahbaab ka dilaasa

phir yun howa kay sawan aankhon mein aa basey thay
phir yun howa keh jaisay dil bhi tha aabla sa

ab sach kahin tou yaroo hum ko khabar nahi thi
ban jaye ga qiyamat ik waqea zara sa

tevare thay bay rukhi kay andaaz dosti
kay woh ajnabi tha lekin lagat tha aashna

sa hum dasht thay keh darya hum zeher thay keh amrat
na-haq tha zeam hum ko jab woh nahi tha piyasa

hum nay bhi uss ko dekha kal shaam itafaqan
apna bhi haal hai ab logon faraz ka sa

Advertisement
· 1 Like · Mar 20, 2016 at 18:03
Category: love
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS