Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Us k aanay ki khabr sunte he tayari ki
Maine g bhar k gulabon ki kharidari ki

Haalat-e-hijr mein filhaal skoon milne laga
Nasha-e-dard ne awaz nhi bhaari ki

Ishq mein mera bhi diwangi maslak hai yahan
Maine es wastay majnoo ki trafdari ki

Warna ye log muje tujse juda kr detay
Maine danista mohabat mein adakari ki

Phool khilte he koe bichra hva yad aaya
Maine khush honey k mosam mein azadari ki

Advertisement
· 1 Like · Aug 12, 2015 at 15:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Hazrat Umar R.A se Shetan ka Darna
Posted by sofia abid
Posted on : Oct 24, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS