Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Suna hoga bohat tumne....
KahiN aankhoN ki rimjhim ka
Kahin palkoN ki shabnam ka...
Parha hoga bohat tumne ....
KahiN lehje ki barish ka
KahiN sagar ke aansoo ka...
Magar tum NE kabhi humdam ...
Kahin daikhe?
Kahin parkhe?
Kisi tehreer ke aansoo
Mujhe teri judaai ne ...
Yehi mairaaj bakhshi hai...
Ke main Jo lafz likhta hoon...
Wo saare lafz rotay hain

Ke main Jo harf bunta hoon ...
Wo saare bain karte hain
Mere sang iss judaai main ...
Mere alfaaz merte hain

Sabhi tareef karte hain ...
Meri tehreer ki lekin..
Kabhi koi nahin sunta ...
Mere alfaz ki siski...
Falak bhi Jo hila daale..
Mere lafzon main hain shamil ..
Ussi taseer ke aanso...
Kabhi daikho mere humdam...
Meri tehreer ke aansoo.!

Advertisement
· 1 Like · Jan 02, 2015 at 18:01
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS