Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

sawal gham hai
jawaab gham hai
hazaar saloon mein jo mukammal hui
muhabbat ki khoon rangi kitaab gham hai
tumahare lab peh jo muskurahat hai
merae lab peh jo aashnai ki manzlon ka safar likha hai
yeh sara gham hai
kisi kay tan ki sumdarataa gham hai
kisi nazar ka gunjalta gham hai
muhabbaton kay samandaroon mein
utartee khush rang seerihoon par
yeh larkiyon ki qitaar gham hai
kafan mein lipti dhulhan ki aankhon mein
aansuon ka shumaar gham hai
woh lrhkyan, lrhke, avrtin, mard gham he gham hain
jo meri naazon kay jungalon kay
bay simt rustoon peh kho geye hain
woh saal khorda haseen aurat bhi gham ka chehra bunny hui hai
jisay muhabbat nay roshni ki naveed di thi
woh jis nay wahdon say apni manzil kasheed ki thi
woh gaon ki kachi paki raahein
woh meri maan ki naheef baanhain bhi gham he gham theen
keh mera bachpan tou gham kay lambay safar ki
ghamgeen ibtida thi
jawani gham ki kahani ban qr
kuch ayesay lafzon mein dhal gayi hai
keh gham ki tashheer ho gayi hai
abhi abhi yeh jo shokh saaye
haseen lamhoon ko chunn rahay thay
yeh gham ki tareekh ban rahay thay
yeh falsafah aqal o ishq o Irfaan
majaz , ejaaz aur haqeeqat bhi saaray gham hain
mein aik shah’r
mein aik sahir
mein aagahi kay azaab mein gum
safar ka anjaam jaanta hon
mein maanta hon
keh har khushi ka imam gham hai

.
.
.
tamaaam gham hai
,

Advertisement
· 1 Like · Jul 22, 2016 at 02:07
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Aey Udasi
Posted by meena kumari
Posted on : Nov 08, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS