Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

rooh k zakhm bohat gehry haiN
pyaas behti hay lahoo ban k inhi zakhmoN se
dard k taar banaty haiN ajab naqsh rafu kaari key
aag hi aag rag-o-pay meiN utar jaati hay
aadmi apny hi sholoN se sulag uThta hay
zindgi moat k maino se ulajh jati hy
aur phir youNhi achanak
koi chupky se nazar Daalta hay zakhmoN pr
aankh bhar deti sab naqsh rafoo kaari key
honT barsatay haiN kuch harf-e-tasalli in pr
haath ban jaty haiN marham
dard miT jata hay lehjay k asar sey yakdam
pyaas bujhti hay to bhar jaty haiN sab rooh k zakhm....

Advertisement
· 1 Like · Jun 03, 2017 at 02:06
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Ye char nuqte hain.
Posted by Mohammad Yaseen
Posted on : Oct 18, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS