Poetry / Sad

Raat chup chaap safar karti hai
dil ki wehshat ka talatum bhi thehar jaata hai
neend tareek hawiley ki tarah
aankh say door fazaoun main ataaq jaati hai
or phir rooh k weeraan zamanon say kaheen
teri awaaz chali aati hai
phailta jaata hai lehjoun ka fusoon
sarsaratay huay pattoun ki sada
kaheen awaara hawa ki dastak
tairgi main kisi mitti k diyey ki dharkan
khuwaab ki chaap
sar shab kisi bhatkey huay bey khuwaab musaafir ka gumaan
or phir saari sadayain sab he gham
teri awaz main dhal jaatey hain
dhoondti phirti sadayain sar barbadi-e-dil
shehar dar shehar safar karti hain
or agar thehar bhi jayain kaheen ik do pal
ghamzada shehar main barbaad musafir ki tarah
bey nawa umr k zandaanon main
raat chup chaap safar karti hai
Hum jahan hon
Teri awaaz chali aati hai!!!!

Advertisement
· 1 Like · Dec 13, 2016 at 05:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Sajdah karte waqt ehtiyat.
Posted by Sobia Malik
Posted on : Nov 29, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS