Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Paana Bohat Kuch Chahta Hoon Magar
Bas Aaj Khud Ko Kahin Khone Do

Karne Ko Baatein Hain Bahut Magar
Bas Aaj Mujhe Chup Rehne Do

Jhinjhod Diya Hai Zindagi Ne Aaj Itna
Ye Toofan Shaant To Hone Do

Apne Hi Jiwan Ki Raahon Mein Kaante
Apne Hi Haathon Se Phir Bone Do

Phir Se Bachpan Jeena Hai Mujhko
Koi Mere Woh Toote Khilone Do

Toote Hue Khwabon Ko Sametoon To Kaise
Mujhe Naye Kuch Sapane Salone Do

Pyar To Khud Se Bahut Kiya Hai
Aj Khud Se Nafrat Bhi Hone Do

Insaan Tha Shayad, Ye Kya Ban Gaya
Kuch Der Iska Ehsaas To Hone Do

Sapne Dekhne Hain Phir Se Mujhe
Kuch Der Ke Liye Bas Sone Do

Hansna Main Bhi Chahta Hoon Shayad
Aaj Magar Mujhe Kuch Rone Do

Advertisement
· 1 Like · Sep 02, 2016 at 20:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS