Poetry / Sad

Waseem Mughal

Mujhay Likhney Ki Khuwahish Hay
Magar Likha Nahi Jata
Mery Alfaz Dil Ki Aahinii Deewar Se Sir Phorrtey Hain
Aur Unhain Izhar Ka Rasta Nahi Milta
Meri Aankhein!
Jinhain Dil Mein Chupay Jazbat Ko
Ashkon Ki Boli Mein Bata Denay Par Qudrat Thi
Vo Ab Kuch b Nahi Kehtein
Mery Yeh Lab!
Jo Dil Ki An Kahi Baaton Ko
Kehnay Se Nahi Dartey Thy
Vo Lab Kuch b Nahi Kehtay
Meri Yeh Ungliyan!
Jo Dil Mein Chupay Jazbat Ko
Izhar Ka Rasta Btati Thin
Vo Ab Kuch b Nahi Likhtien
Meri Aankhein,Yeh Lab, Meri Ungliyan Mujh Se Kehti Hain
k Ab Jazbat Ko Izhar Ka Rasta Nahi Dena
k Monh Zor Hotay Hain
Faqat Rastey k Milney Se
Inhein Manzil Talak Janey Ki Haajat Hi Nahi Rehti
Naye Rastey Pe Jatay Hain
Nayi Raahein Banatey Hain
Magar Phir Wapsii k Sab Nishan Bhool Jatay Hain
Inhein Rasta Nahi Dena
Inhein Tum Dil Mein Rehnay Do
Wagarna Khoon Rulayein ge
Inhein Rasta Nahi Dena
Inhein Tum Dil Mein Rehnay Do

Mujhay Likhney Ki Khuwahish Hay…!!!

Advertisement
· 1 Like · Mar 19, 2016 at 10:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS