Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Usi Ek Fard Kay Wastay Meray Dil Mai Dard Hai Kis Liye
Meri Zindegi Ka Mutalba Wohi Ek Fard Hai Kis Liye

Jo Likha Hai Meray Naseeb Mai Kaheen Tu Ne Parh Tu Nahi Lia?
Tera Hath Sard Hai Kis Leye, Tera Rang Zard Hai Kis Liye

Tu Jo Shaher Mai He Muqeem Hai Tu Musafirat Ki Fiza Hai Kiyon
Tera Karwaan Jo Nahi Gaya Tu Hawa Mai Gard Hai Kis Liye

Wo Jo Tarq-e-Rabt Ka Ehad Tha kaheen Tottnay Tu Nahi Laga
Teray Dil Kay Dard Ko Dekh Ker Meray Dil Mai Dard Hai Kis Liye

Na Jamal-o-Husan Ki Bazam Hai Na Janoon-o-Ishq Ka Azm Hai
Sir-e-Dasht Raqs Mai Her Garhi Koi Baad-e-Gard Hai Kis Liye

Koi Wasta Jo Nahi Raha Teri Ankh Mai Yeh Nami Hai Kiyon
Meray Ghum Ki Aag Ko Dekh Ker Teri Ahh Sard Hai Kis Liye

Advertisement
· 1 Like · May 09, 2017 at 15:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

girtay balon ke liye azmoodah nuskhay
Posted by haseeb raza
Posted on : Oct 06, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS