Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Kisi Ko Anjuman Aaraiyaan Nazar Aain
Kisi Ko Zaat Main Tanhaaiyaan Nazar Aain

Main Is Liye Teri Mehfil Se Lout Aaya Hoon
Jagah Jagah Muje Ruswaaiyaan Nazar Aain

Samaaton Ne Basarat Ka Roop Dhaara Jab
Faza Main Goonjti Shehnaaiyaan Nazar Aain

Wo Apne Aap Se Anjaan He Raha Jis Ki
Zamane Bher Se Shanasaaiyaan Nazar Aain

Mere Wajood Pe Aakhir Ye Kis Ka Pehra Hai?
Jala Charaagh Tu Parchaaiyaan Nazar Aain

Lagaaii Aankh Se Majboriyun Ki Ainak Tu
Bure Amal Main Bhi Achaaiyaan Nazar Aain

Zameen Ke Husn Ka Wo Bhi He Aik Rukh Babar
Ufaq Ke Paar Jo Raanaaiyaan Nazar Aain...

Advertisement
· 2 Like · Sep 13, 2016 at 02:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Which Bridal Hands is Beautifull
Posted by kamran ullah khan
Posted on : Oct 31, 2015

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS