Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Tazad E Jazbaat Mai Ye Nazook, Maqam Aaya Tau Kya Karogey
Mai Ro Raha Hon Tum Hans Rahe Ho, Mai Muskuraya Tau Kya Karogey
Mujhe Tau Iss Darja Waqt E Rukhsat, Sukoon Ki Talkeen Kar Rahe Ho
Magar Kuchh Apne Liye Bhi Socha, Mai Yaad Aaya Tau Kya Karogey
Tumhare Jalvon Ki Roshni Mai, Nazar Ki Heranian Musallam
Magar Kisi Ne Nazar K Badle Jo Dil Aazmaya Tau Kya Karogey
Kuchh Apne Dil Par Bhi Zakhm Khao, Mere Lahoo Ki Bahar Kab Tak
Mujhe Sahara Banane Walo, Mai Larhkhrhaya Tau Kya Karogey
Abhi Tau Daman Chhurha Rahe Ho, Bigharh K QABIL Se Ja Rahe Ho
Magar Kabhi Dharkano Mai Usko, Shareek Paya Tau Kya Karogey

Advertisement
·
1 Like ·
Dec 11, 2015 at 02:12
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video