Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Khuwab Marte Nahin
Khuwab Marte Nahin
Khuwab Dil Hain, Na Ankhen Na Sansen
Keh Jo Reza Reza Huay To Bikhar Jaen Gey
Jism Ki Moat Se Ye Bhi Mar Jaen Gey
Khuwab Marte Nahin
Khuwab Marte Nahin
Khuwab To Roshni Hain, Nawa Hain, Hawa Hain
Jo Kalay Paharon Se Rukte Nahin
Zulm Ke Dozakhon Se Bhi Jhukte Nahin
Roshni Aur Nawa Aur Hawa Ke Alag
Maqtalon Mein Pohanch Kar Bhi Jhukte Nahin
Khuwab To Harf Hain, Khuwab To Noor Hain
Khuwab Suqrat Hain, Khab Mansoor Hain

Advertisement
·
1 Like ·
Oct 11, 2016 at 12:10
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video