Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Jo rishta dil se na jura ho
Usey tum chorti kyun naheen
Jo asaas majbori ki bina ho
woh bandhan torti kyun naheen
Tumeen rishton ka khof lahaq hay
Ya khud se larne se darti ho
Na badalne ka mere koi dharka hay
Ya mere badal jane se darti ho
Tumeen khud main samait sakta houn agar
Apna aap bikhar jane se darti ho
Main duniya se takra to sakta houn agar
Logoon se zamane se darti ho
Mere bazoo dam to rakhtey hain magar
Tum shayad aazmane se darti ho
Agar yeh sab kuch naheen hay to phir
Apnoon k samne se darti ho

Advertisement
· 1 Like · Mar 19, 2017 at 12:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS