Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Jo Ranjishein Thiin Jo Dil Mein Gubaar Tha Na Gaya
K Ab Ki Baar Gale Mil K Bhi Gila Na Gaya
Ab Us K Wada-E-Fardaan Ko Bhi Taraste Hain
Kal Uski Baat Pe Kyun Aitbaar Kia Na Gaya
Ab Us K Hijr Mein Royain Na Wasl Main Khush Hon
Wo Dost Ho Bhi To Samjho K Dostaana Gaya
Nigaah-E-Yaar Ka Kya Hai Huii Huii Na Huii
Ye Dil Ka Dard Hai Pyaare Gaya Gaya Na Gaya
Sabhi Ko Jaan Thii Pyaari Sabhii The Lab Basta
Bas Ik Faraz Tha, Zaalim Se Chup Raha Na Gaya

Advertisement
·
1 Like ·
Sep 01, 2016 at 10:09
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video