Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Gayee Ruton Mein To Shaam-O-Sahar Na They Aise
Ke Ham Udaas Bohat They Magar Na They Aise
Yahan Bhi Phool Se Chehre Dikhayee Dete Hain
Ye Ab Jo Hain Yehi Deewar-O-Dar Na They Aise
Miley To Khair Na Milne Pe Ranjishein Kaisi
Ke Us Se Apne Marasim They Par Na They Aise
Hamee They Jo Tere Aane Talak Jaley Warna
Sabhi Charagh Sar-E-Rahguzar Na They Aise
Dil-E-Tabah Tujhe Or Kya Tasalli Dein
Tere Naseeb Tere Chaaraagar Na They Aise
Faraz Khush Ho Ke Ahsaan Us Sitamgar Ke
Jo Tujh Pe Hain Wo Kisi Or Par Na They Aise

Advertisement
·
1 Like ·
Sep 01, 2016 at 04:09
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video