Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Is Zamanay Say Hum Ne Koi Gilaa Rakhain Gay
Dil Lagayein Gay To Na Shart-E-Wafa Rakhain Gay


Na Dikhayain Gay Kabhi Dil Pe Lage Zakhm Unhain
Dard Uthay Ga Magar Dil Ko Daba Rakhain Gay


Jaan De Dain Ge Agar Aik Ishaara Kar De
Ham Usay Apne Liye Bhi Na Bacha Ke Rakhain Gay


Sab Hata Dain Ge Teri Raah Ki Rukawat Hamdam
Ghar Ke Darwazay Ko Har Waqt Khula Rakhain Gay


Unki Har Baat Ko Bhoolay Say Na Bhoolain Gay Kabhi
Unki Yadoon Ko Bhi Seenay Se Laga Rakhain Gay


Toot Bhi Jaayegi Umeed Jo Tere Aanay Ki
Ek Diya Phir Bhi Hawaaon Main Jala Rakhain Gay.

Advertisement
· 1 Like · Sep 09, 2016 at 03:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Pakistan Victory
Posted by kashif mali
Posted on : Sep 06, 2014

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS