Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Hijer mein khoon rulate ho kahan hote ho?
Lout ker kyoun nahin aate kahan hote ho?

Jab bhi milta hay koi shakhs baharon jaisa?
Mujh ko tum kaise bhulate ho kahan hote ho?

Yaad ati hain aikele mein TUMHARI neendain
Kis tarah khud ko sulatay ho kahan hote ho?

Mujh se bichre ho tu mehboob e nazer ho kis k
Aaj kall kis ko manate ho kahan hote ho?

Shab ki tanhayi mein aksar yeh khayal ata hay
Apne dukh kis ko sunate ho kahan hote ho?

Mousam e gul mein nasha hijer ka berh sa jata hay
Mere sab hosh churatay ho kahan hote ho?

Sard raaton mein tumhain kaise bhula sakta hon
Aag si dil mein lagate ho kahan hote ho?

Tum tu khushion ki rafaqat k liye bichre the
Ab ager ashk bahate ho tu kahan hote ho?

Shaher k loog bhi Wasiq yahi kerte hain sawal
Ab bohat Kam nazer ate ho kahan hote ho?

Advertisement
· 1 Like · May 19, 2017 at 06:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS