Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Silsala Aur Bhi Kuch Gham K Barhaya Jaye,
Is Biyaaban Ko Samander Se Milaya Jaye,

Jis Mein Hum Log Charaghon Ki Tarah Jaltay Hain,
Aao Woh Shehr Zamanay Ko Dikhaya Jaye,

Apnay Qabzay Mein Toh Zakhmon Ki Barhi Doulat Hai,
Kyun Na Phir Waqt Ka Sab Qarz Chukaya Jaye,

Dil Mein Is Qadar Tere Dard Ko Rakh Leta Hon,
Jaise Ghar Mein Kissi Mujrim Ko Chupaya Jaye,

Mujhse Khud Apna Pata Puch Raha Tha Ik Din,
Haye, Woh Shakhs Bhulaaye Na Bhulaaya Jaye,

Main Koi Raaz Ki Tahir Nahi Hoon "JAAMI",
Band Kamre Mein Jissay Laa Kay Jalaya Jaye......!!!!

Advertisement
· 1 Like · Feb 21, 2016 at 16:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Next Gen
Posted by fayyaz karimi
Posted on : Aug 30, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS