Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

gham k marun k sisaknay ka samaan dekha ha,
dard insan k pehlu main jwan dekha ha,

dard or dukh to milay mil na saka dil ko sukoon,
dil k har parday main ek gham ko nihaan dekha ha,

gulshan aabad tah e daam e sayadaan hi raha,
har jaga bulbuloon ko mehv e fighaan dekha ha,

pinhaan rehti hi nahi aatish e ulfat ki tapash,
Quais o Farhad k jalnay ka dhuwaan dekha ha,

kis qadar zulm ha insaan ka insaan k sath,
waqt ki ankh se ashkoon ko rawaan dekha ha,

kis k ajanay se ai FAZAL teray hosh uray,
yad tak bhi na raha kis ko kahan dekha ha,

Advertisement
· 1 Like · Feb 22, 2018 at 09:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Musalman to Banen
Posted by Akram Rahi
Posted on : Aug 07, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS