Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Gham-E-Hijr-E-Yaar main Rahoon Be-Qaraar Kab Tak?
Mere Dil Bata Yeh Mujh Ko Karoon Us Ko Pyar Kab Tak?

Ye Hujoom-E-Naa-Muraadi Gham-E-Be-Shumaar Kab Tak?
Teri Baat Ka Bharosa Tera Intizaar Kab Tak?

Shab-E-Hijr Ki Udaasi Kahein Mujh Ko Le Na Doobey!
Meri Dharkanon Pe Ho Gaa Tera Ikhtiyaar Kab Tak?

Nahi Aaj Kaa Bharosaa, Na Kal Ki Hain Umeedein
Teri Reh Takoon Main, Shab-E-Wasl-E-Yaar Kab Tak?

Jahaan Dekhiye Andhera! Jahaan Sochiye Udaasi!
Raah-E-Zindagi Mein Yaa RAB! Rahe Gaa Ghubaar Kab Tak?

Main Nikal Para Tha Tanha, Liye Saare Ranj Dil Par !
Magar Phir Khayal Aaya K Sahoon Ye Baar Kab Tak?

Meri Aankhein Tak Rahain Hain Teri Waapsi Ki Raahein!
Tu Hi Ab Bata De Mujh ko Karun Intizaar Kab Tak?!

Mujhe Yoon To De Gayaa Hai Woh Dilasa Jaate Jaate!
Magar Ab Ye Sochta Hoon Karoon Aitibaar Kab Tak?

Advertisement
· 1 Like · Mar 08, 2017 at 05:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS