Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Dushman bhi pesh aaye hain dildar ki tarah
Nafrat milee hai unsey mujhe pyaar ki tarah

Kaise milengey chahne waley bataiye
Duniya kharhi hai raah mein deewar ki tarah

Woh bewafai kar ke bhi sharminda na huwe
Sooli pe hum charhhe hain gunahgar ki tarah

Toofan mein mujh ko chorh kar woh laug chal diye
Sahil pe they jo sath mein patwaar ki tarah

Chehre pe hadson ne likheen woh ibaratein
Parhta hai har koi mujhe akhbar ki tarah

Dushman bhi ho gaye hain maseeha sifat JAMAL
Milte hain toot kar woh galey yaar ki tarah,

Advertisement
· 1 Like · Apr 12, 2016 at 07:04
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

The Seatbelt Crew
Posted by Interesting Videos
Posted on : Dec 09, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS