Poetry / Sad
Sadaf Faiz
chup hai har waqt ka rone waala
kuchh na kuchh aaj hai hone waala
ek bhi ashq nahin hai aankhon mein
sakht jaan kitna hai rone waala
aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin
haar phoolon k pironey waala
kho gayaa dard ki tasweeron mein
pyaar k rang bhigone waala
fasl ashqon ki ug aayee kaise
kyaa kahe …kahkahe bone waala
baanteta phirta hai auron ko hansee
khud ko ashqon mein dubone waala
mutmayeen ab hain yahi soch ke hum
ho rahega hai jo hone waala
SHAUQ tum jiske liye marte ho
wo tumharaa nahin hone waala
kuchh na kuchh aaj hai hone waala
ek bhi ashq nahin hai aankhon mein
sakht jaan kitna hai rone waala
aaj kaanton ka bhi haqdaar nahin
haar phoolon k pironey waala
kho gayaa dard ki tasweeron mein
pyaar k rang bhigone waala
fasl ashqon ki ug aayee kaise
kyaa kahe …kahkahe bone waala
baanteta phirta hai auron ko hansee
khud ko ashqon mein dubone waala
mutmayeen ab hain yahi soch ke hum
ho rahega hai jo hone waala
SHAUQ tum jiske liye marte ho
wo tumharaa nahin hone waala
Advertisement
·
1 Like ·
May 09, 2015 at 18:05
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on
- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video