Poetry / Sad

December abb k aao tou,
tum uss shehar e tamanna ki khabar lana.,
Keh jis mein jugnuon ki kehkashaan jhilmilaati hai.,
Jahan titlee k rangon se fizayen muskarati hain.,
Wahan har taraf khushboo wafa ki he
Aur usko jo bhi pooron se,
Nazar se choo gya pal bhr,
Mehak uthaa!

December abb ka aao tou
tum uss shehar e tamanna ki khabar lana
Jahan per rait k zarray sitaray hain
Gul o bulbul,Mah o anjum wafa k istaaray hain
Jahan dil woh samandar hai jiske kai kinaray hain!

December hum se naa poocho hamaray shehar ki baabat
Yahan aankhon mein guzray kaarwan ki gard thehri hai
Muhabbat barf jaisee hai yahan
Yahan dil k lahoo mein
Apni palkon ko dubo ker hum
Sunehray khowab buntay hain
Phir unhi khawbon mein jeetay hain
Unhi khawbon pe mertay hain
Dareeda rooh ko lafzon say seena go nahi mumkin
Magar phir bhi!
December abb k aao tou
Tum us shehar e tamanna ki khabar lana...!!

Advertisement
· 1 Like · Aug 28, 2017 at 18:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Help a Child Reach 5
Posted by Interesting Videos
Posted on : May 16, 2017

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS