Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Dayaar-e-gair mein kaise tujhe sada dete
tu mil bhi jata to tujhe ganwa dete

Tumhi ne ham ko sunaya na apna dukh warna
dua woh karte ke ham aasmaan hila dete

Hamein yeh zom raha ab ke woh pukarain ge
unhein yeh zid thi k har baar ham sada dete

Woh tera gam tha k taseer mere lahje ki
ke jis ko haal sunaate usay rula dete

Tumhein bhulana hi aval to dastaras mein nahi
jo ikhtiyar bhi hota to kya bhula dete

Tumhaari yaad ne koi jawab hi na diya
mere khiyal ke aansu rahe sada dete

Advertisement
· 1 Like · Mar 19, 2017 at 21:03
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS