Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Bohat farsooda lagte hain mujhe ab yaar ke kissey
Gul o gulzar ki batain lab o rukhsaar ke kisse,,

Yahan sab ke mukaddar main fakat zakhm e judai hai
Sabhi jhootay fasane hain wasal-e-yaar ke kisse,,

Bhala ishq-o-mohabbat se kis ka pait bharta hai
Suno ! tum ko sunata hoon mein karobar ke kisse,,

Mere ehbaab kehte hain yehi ik aeb hai mujh main
Sare deewar likhta hon main pasey deewar ke kisse,,

Main aksar es liye logon se ja kar khud nahin milta
Wohi bekaar ki batain ' wohi bekaar ke kisse!

Advertisement
· 1 Like · May 13, 2017 at 04:05
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Natasha Ali
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 28, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS