Poetry / Sad

bichartay lamhon me!
uss nay mujh say kaha tha
dekho!
hamari rehain juda juda hain
magar hamain aik dosray ka
khayal rakhna hai zindagi bhar
kisi bhi lamha udasiyon ki
faseel hayal na honay dena
hawa k hathon pe likhtay rehna
judaiyon k tamam qissay
qadam qadam pe jo paish aye
wo sanihay bhi nazar me rakhna
me jab bhi lauta to
apnay honton ki tazgi ko
tumhari rasti hui ankhon me laa rakhon ga
jo meri apni hain, sirf mere
bichartay lamhon main uss nay mujh say
na janay kia kuch kaha suna tha
or!
ab uss say bhi yehi kahay ga
wo jiss k hathon me hath dalay
naye safar pe nikl para hai...!

Advertisement
· 1 Like · Sep 07, 2017 at 22:09
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

KIDZ XPO 2012 - Exhibition & Convension
Posted by iJunoon
Posted on : Apr 13, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS