Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Tu Bhi Agar na mila to kiya hogga?
Ik Naya Zakham milyga
Ik Naya Dard hogga
Ik Kasak Dil mein or rah jayegi
Yeh Zindagi to Rog ban jayegi
Maut ho Naseeb aissa kahan Mera Muqadar
Khudkushi karny ki Himmat kahan mujh mein
Jeena to parry ga Laikin
Yehi Sochta hoon Mein
k Zindagi kaisse Basar hoggi
Najany Sham se kaisse Sehar hoggi
Han magar Dard ki na koi Kami hoggi
Ankh mein Ansoon ki Nami hoggi
Sukoon to milyga nahi phir kahin
DIL par bany Naqsh Mit tay nahi yunhi
Yaddien bhi Sanson k Saath Saath Chalti hain
Kiss Qadar Aziyat or Kitna Karb Hogga
Meharban jany kab Mera RAB hogga
Kab Millien gi Rahatain
Jeevan mein kab Sukoon hogga
Tu to Bhool jayegi Mujhy hai Yaqeen
Nai Duniya mein Gum hokar
Milly ga Pyar to Nikhar Jayegi
Zindagi teri to Sanwar jayegi
Dhundhla Jayega Yaddoon ka Aainaa
Waqt ki Dhool urry gi Jab
Tujhy Fursat milly gi kahan
k Beety lamhoon ko Yaad karry
Waqt Apna Barbad Karry
Teri Apni Zindagi hoggi
Har Taraf Khushi hoggi
RAB tujh par Meharban hogga
Tere Sar par to SAIBAN hogga
Han mein magar rahoonga Yunhi Sada
Bay Sukoon,Bay Asra!

Advertisement
· 1 Like · Dec 25, 2015 at 00:12
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

sh000000000 cute
Posted by mohammad ali khan
Posted on : Oct 12, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS