Poetry / Sad
Muzammil Shahzad
Mujhe Aarzo-E-Sehr Rahi Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak
Na Bikhar Saka Na Simat Saka Yunhi Raat Bhar Bari Dair Tak
Hain Buhat Azaab Aur Akele Hum, Shab-E-Ghum Bhi Meri Taveel Tar
Rahi Zindagi Bhi Saraab Aur Rahi Aankh Tar Bari Dair Tak
Yahan Har Taraf Hai Ajab Saman, Sabhi Khud Pasand Sabhi Khud Numa
Dil-E-Beqarar Ko Na Mila Koi Chara Gar Bari Dair Tak
Mujhe Zindagi Hai Azeez Tar Isi Wastay Mere Humsafar
Mujhe Qatra Qatra Pila Zeher Jo Kare Asar Bari Dair Tak

Advertisement
·
1 Like ·
Dec 31, 2014 at 22:12
Category: sad
Latest Posts in poetry
- MasihaPosted by : Ghazal Noor on
- Hisab be hisabPosted by : Ghazal Noor on
- dunya k marePosted by : Ghazal Noor on

- Haqeeqat jaan lo bichad jaane se pehlePosted by : on
- Jasbaate ishq naakaam naa hone dengePosted by : on
- Tum nePosted by : Ghazal Noor on
- kahaniPosted by : Ghazal Noor on
- Anjany logPosted by : Ghazal Noor on
Sponored Video