Poetry / Sad

Kamran Ullah Khan

daikh k mausam-e-sarma aur yeh sookhay patay
jisay furqat nay jalaya voh shajar yaad ayaa

barg-e-awaara ko hai apnay thikanay ki talaash
mujhay voh shehar voh galian voh ghar yaad ayaa

shaakh say toot k yoon rooye k daikha na gayaa
mai bhi roonay lagee jab apna safar yaad ayaa

aksar soocha k chalo bhool k daikha jaaye
buhut koshish ki bhulanay ki magar yaad ayaa

dil ki zidd hai jo muqadar mai hai voh aaj milay
jo lafz tumnay parhaya tha sabar yaad ayaa

Advertisement
· 1 Like · Aug 24, 2015 at 01:08
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Sach Magar Talkh
Posted by urooj imran
Posted on : Apr 11, 2016

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS