Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

baat karni mujhe mushkil kabhi aisi to na thi
jaisee ab hai teri mehfil kabhi aisi to na thi

le gaya chean ke kaun aaj tera sabr-o-qarar
be qarari tujhe ay dil kabhi aisi to na thi

chashm-e-qaatil meri dushman thi hamesha lekin
jaise ab ho gai qatil kabhi aisi to na thi

un ki aaNkhoN ne Khudaa jaane kyaa kia jaaduu
ke tabiyat meri maail kabhi aisi to na thi

aks-e-ruKh-e-yaar ne kis se hai tujhe chamkaya
taab tujh meN maah-e-kaamil kabhi aisi to na thi

kya sabab tuu jo bigaRtaa hai Zafar se har baar
Khuu terii huur-e-shamil kabhi aisi to na thi

Advertisement
· 1 Like · Feb 15, 2017 at 03:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Cartoon Characters
Posted by Abdul Qaddoos
Posted on : Oct 05, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS