Poetry / Sad

Muzammil Shahzad

Apna To Rawaiya Hai Ye Guftaar Say Pehlay
Saabit Kero Talqeen Ko Kirdaar Say Pehlay

Pucho To Zara Haal Bhi Beemaar Say Pehlay
Dil Ko Na Qaraar Aaye Ga Deedaar Say Pehlay

Azbar Thay Usay Pagrri K Aadaab Hain Jitnay
Sar Denay Pe Raazi Tha Jo Dastaar Say Pehlay

Tay Ki Meray Qadmon Ne Tasuwer Ki Musaafat
Manzil Pe Hun Pohncha Hua Raftaar Say Pehlay

Daanai Hai Is Qaul Mein Hikmat Bhi Bohat Hai
Tolo To Zara Baat Ko Guftaar Say Pehlay

Tameer Mein Tarteeb Bhi Aa Jaye To Acha
Kaya Dar Bhi Bana Kerta Hai Deewaar Say Pehlay

Waaiz Ye Kahay Jurm Hai Nazron Ki Khayaanat
Pucho To Kabhi Guzra Hai Baazaar Say Pehlay

Mayoos Na Ho Waqt Guzar Jaye Ga Ye Bhi
Achay Bhi To Din Aaye Thay Aazaar Say Pehlay

Kat Jayen Gay Ye Haath Jo Ban Jaye Ga Madfan
Ye Baat To Tay Kerni Thi May'maar Say Pehlay

Qazi Teray Insaaf Say Ye Mujh Ko Gila Hai
Pakrray Hain Ye Masoom Gunahgaar Say Pehlay

Fazil To Nahe Likhay Ga Shaahon Ki Hikaayat
Turbat Isay Manzoor Hai Darbaar Say Pehlay... .

Advertisement
· 1 Like · Feb 15, 2016 at 16:02
Category: sad
 

Latest Posts in poetry

Saleem Sheikh with wife
Posted by iJunoon
Posted on : Jun 08, 2018

Random Post

Sponored Video

New Pages at Social Wall

New Profiles at Social Wall

Connect with us


Facebook

Twitter

Google +

RSS